Assalam-o-alaikum
*Aaye charagh-e-dil aaj hi jalaeeeN hum
kaisi kal hawa chaley, koyi janta naheen *
Assalam-o-alaikum
*Aaye charagh-e-dil aaj hi jalaeeeN hum
kaisi kal hawa chaley, koyi janta naheen *
wa alaikum assalaam Rameesha Ji :)
Na janay kyuuN meri Aankhain barasney Lagti haiN
Jo sach kahuuN tou kuch aesa udaas huuN bhi nahiN
next noon*
** Gul** I have to leave now...thanx & see you tomorrow :)
"ye"
YuuN hii bhar aaey Aankh meiN Aansoo
Jaai'yay Aap................. koi baat NahiN
Next: Noon*
Nah rahi taqat-e-guftaar our agar ho bhi to
kiss umeed pe kahye keh aarzo kya he
ye kis Khalish ne phir is dil meiN aashiyana kiya
phir aaj kis ne suKhaN ham se gaayebana kiya
'alif"
"ye"
Ye motii tou nahiN thay jo koi paLkoN say chuntaa
hum Aankh say tapkay huey AansuuN kii tarah haiN
Next: Noon*
Naya ik rabt paida kyun karain hum
bicharna hai tu jhagra kyun karain hum
yeh kaafi hai ke hum dushman nahi hain
wafadari ka dawa kyun karain hum
"meem"
maiN teri yaad ko yuuN diL maiN liyay phirta huuN
jaesay Farhad nay seenay say laga'ay pathaR......
Next: Re*
Raakh key dhair pe ab raat basar karni he
jal chukey haiN mery khaimey, mery khwabooN ki tarah
har tamasha'ee faqat saahil se maNzaR dekhataa
kauN dariyaa ko ulaTataa kauN gauhaR dekhataa
"ye"
yehi bohat hai k in labooN ko sada se mahroom kaR k rakh dooN
magaR ye kesi masalahat hai k samandrooN ko sarab likhoN
~Nah woh ishq meiN raheeN garmiyaaN, nah woh khusn meiN raheeN shokhiyaaN
nah woh Ghaznawi meiN tarhap rahi nah woh kham he zulf-e-Ayyaz meiN~
Na socha na samjha, na seekha na jaana
mujhey Aa geya Khud-ba-Khud diL Lagaana
GuLoN tak Lagaaiye tou AasaaN hay Lekin
hay dushwaaR kaanToN say daamaN bachaana
Next: alif*
yeh udaasiyoN kay mausam kahiN raaegaaN na jaaaiN
Kisi zakhm ko kuraydo kisi dard ko jagaao
Wuh kahaniyaaN adhuuri jo naa ho sakaiN gi puuri
UnhaiN maiN bhi kyuuN sunauuN unhaiN tum bhii kyuuN sunaao
Next: wao*
wo tumam dunia k wasateY jo mahabtooN ki misaal tha
wohi apnY ghaR maiN tha bewafa ye kabi kisi ko khbaR na ho
wo samaj k dhoop ka devata mujhaY aaj poojnaY aieY haiN
maiN chiraag hooN teRi sham ka ye kabi kisi ko khabaR na ho
"wao"
Wuh samandar hay tou phir Ruuh ko shadaab karay
Tish-nagi kyuuN mujhay deta hay saraboN ki tarha
Next: alif*