Bait Bazi - Part LXIV

**
Is sey pehley ke rut badal jaaey
apney saarey gulaab ley jaana

"alif"

Umeed-e-pursish-e-ghum kis say kijiye "Nasir"
Jo meray diL pe guzarti hay koi kyaa jaaney

Next: ye*

**
Ye ehad wo hey ke meri wafaa ke qissaoN meiN
teri jafaa ki hikaayet bhi bayaaN ho gi

"ye"

Yeh koon loog aandheerooN ki baat kartey haiN
abhi to chaand teri yaad key dhaley bhi naheen

Na gharaz kisii say na waastaa, Mujhay kaam apnay kaam say,
Terey Zikr say, Teri Fikr say, Teri Yaad say, Terey Naam say.
Teri Subh-o-Aish hay Kya Balaa, Tujhay Aey Falak jo Ho HausLa,
Kabhi Kar Lay Aa kay Mukablaa, Ghum-e-Hijr-e-Yaar Ki Shaam say

Next: ye*

**
Yaad aata hey mujhey us ka bicharrna Khawar
jab darkakhtoN ke ujarrney ka samaaN hota hey

"ye"

yeh aag bujhti nahiN hay mujh say maiN thak geya hun bujha bujha kar
FiraaQ-e- jaana nay diL ko dozakh bana diya hay jala jala kar

Next: Re*

**
Rang per'han ka, khushbu zulf lehraaney ka naam
mosam-e-gul hey tumhaarey baam par aaney ka naam

"meem"

Moti haiN in ki teh meiN keh pathar kissay khabar
DiL tou samandroN say bhi geharay haiN dostou

**
Wo jin ke sehan meiN ameeri ka shajar lagta hey
unka har aeib bhi zamaaney ko hunar lagta hey
meri maaN mujh sey naaraaz na ho jaaey kaheeN
sar pe aaNchal nahi hota to dar lagta hey

"ye"

woh ishq jo hum se rooth gaya ab uss ka haal bataayan kya
koi mehr nahi, koi qehr nahi, koi sacha shair sunaayian kya...

"alif"

Yeh ghurtateeN meri aankhooN meiN kaisi utreeN haiN
keh khwaab bhi mery rukhsat haiN, ratjaga bhi geya

Ik dard ka phailaa hua sahara hay ke maiN huuN
Ik mauj maiN aaya hua dariya hay ke tum ho

**
Wo chahm-e-mast kitni khabar'daar thi Adm
khud hosh meiN rahi hameiN bandaam kia

"alif"

us nay khushbu say karaya tha ta'ruf mera
phir mujh ko bakheraa bhi hawa hi ki tarah

Next: he*

^ hayee hayee hayee

Aisey mousam bhi guzarey hum ney
subheeN jab apni theen shameen uski

**
Hasrat us taaer-e-mayoos ki haalat pe ke jo
qaed sey choot ke bhi maael-e-parwaav na tha

"alif"

[QUOTE]
*Originally posted by Rameesha: *
^^ hayee hayee hayee

Gul ki bachhi :(

uss shaks say wabata khush fahmi ka ye alam hay
maut ki hichki aai to maiN samjha kay uss nay yaad kia