Bait Bazi Month of September, 2008

**

Woh **Poochtay Hain K kaysaa Tha Woh Paree Payker
Naheen Jahaa'n Main Jis Ki Misaal Aisaa Thaa
Hum Aik Dosray Ko Chasham e Nam Say Taktay Thay
Misaal e Hijr Humaara Visaal Aisaa Thaa

Alif

re: Bait Bazi Month of September, 2008

IZHAAR HAM KAREN K ODHAR SY HU IBTEDAA

BARSON GUZAR GAY HEN YEHI SOCHTY HUY

YE

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yaad e Mehboob Say Zinda Hain Khudaayaa Warna
Kaun Jeeta Hay Tayree Dunyaa Main Tamaashaa ban Kar

Ray

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Raah-e-talab mein jazba-e-kamil ho jis ke saath
khud uss ko dhoond layti hai manzil kabhi kabhi

Yeh

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yeh Ahl e Dil Ki Basti Hay Zargaroo'n Ki Naheen
Yahaan Diloo'n Ka Buhat Ahtiraam Kartay Hain

Noon

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Na janay ho gaya hoon iss qadar hasas main kab say
Kisi say baat karta hoon to aankhain bheeg jaati hain **
<!-- google_ad_section_end -->
** "Noon"

re: Bait Bazi Month of September, 2008

na ehd,e tark e talluq, na qurbaten peham

bas aek rabt-e-musalsal, madaam tujh sy rahy

ye

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yeh dil hi janta hai k kis hausle k saath
na-qadri-e-mata-e-hunar daikhte rahay

Yeh

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Ye Majra Mujh Ko Samajh Nahin Aata
Shumi Ki Postain Meray Hotay Nahin Hoteen

‘Noon’

:hayaa:

Ye Kash’makash Alag Hai Ke Kis Kash’makash Main Hoon
Aata Nahin Samajh Buhat Sochta Hoon Main

‘Noon’

re: Bait Bazi Month of September, 2008

ne rangiye siyaasat-e-duraan tu dekhiye.........

manzil unhen mili ju ju shareek-e-safar na thhy

yey

Yay jaga-e-ghum ka charah, wo nijat dil ka aalm
Tri husn dast-e-eesa, teri yaad ro'ay mariyam
Dil-o-jaaN fida'ay rah hai kabhi aa k daikho humdam
Sar-e- ko'ay dil figarraaN shab aarzoo ka aalm

" Meem "

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Mujhe Maloom Hai Uss Ka Thikana Phir Kahan Hoga
Parinda Aasmaan Chhoonay Main Jab Na'kaam Ho Jaye
Ujalay Apni Yaado'n Ke Hamaray Sath Rehnay Do
Na'janay Kis Gali Main Zindagi Ki Shaam Ho Jaye

'Ye'

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Ye Do Din Main Kia Maaj'ra Ho Gaya
Ke Jungle Ka Jungle Hara Ho Gaya

'Alif'

Udaas shaam ka chehraa udaas kuen na lagay
Keh teray naam ka ubhra koi sitara kab
Ana -e- zaat ka ab tak safr salamat hai
Zareef aankh say ojhal hai yay nazara kab

"Bay"

re: Bait Bazi Month of September, 2008


***bahut pahale se un qadmooN ki aahaaT jaan lete haiN
tujhe ai zindagii ham duur se pahachaan lete haiN


"noon"

re: Bait Bazi Month of September, 2008

.

Na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
Diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai

.

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yehh kahaanii kissi aik morr pay rukk jaati thiii..
tu huva shamil-e-qissa tou mukammal huve hum

Meem

merey Allah buraaii sey bachaanaa mujh ko
naik jo raah ho uss raah pe chalaanaa mujh ko

wao''

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Waqt-e-rukhsat wo chup rahe abid`
aankh mein phailtaa gaya kaajalll..

laam

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Likh Ke Rehmat 'Ray' Pe Nuqta Rakh Dia
Kis Qadar Jaltay Hain Meray Naam Se

'Ye'