Bait Bazi Month of September, 2008

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yeh jabr marg-e-musalsal hi zindagi hai Munir`
jahaan mein iss pe kabhii ikhtiyar kis ka thaa

Alif

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Iss Shart Pe Khelu'n Gi Piya Pyar Ki Bazi
Jeetu'n To Tujhe Pa'un Haaru'n To Piya Teri

'Ye'

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yaadon mein ikk yaad, koi dilshikan si yaad
woh yaad ab kahan hai ke fursat nahin rahi

Yeh

ye husn teraa ye ishq meraa
rangeen tou hey badnaam sahii
mujh par tou kaii ilzaam lagey
tujh par bhii koi ilzaam sahii

Ye''

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Ye Kahan Ki Dosti Hai Ke Banay Hain Dost Naseh
Koi Chara'saz Hota Koi Gham'gusaar Hota

'Alif'

re: Bait Bazi Month of September, 2008

Ankhon me ansoo aa jatey hain
phir b labon per hasi rakhni parti hai
muhabbat b kya cheez hai yaroon
jis say kartey hain us he say chupani parti hai

"ye"

Yeh tu nay kia kia muJHay hee faaSH ker diya
MiaN hee tu eik raaz THa seena e kainaat maiN

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Naa janay kabb mujhe azn-e-safar ataa karr de....
main ik ashk hon us chashm-e-tar mein rakha huva

Alif

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judai Ki
Aaj Mainay Pehli Baar, Uss Se Bewafai Ki

'Ye'

Yeh kisnay humsay lahoo ka Khiraaj phir maanga?
Abhi tu soye thay maqtal ko surKhuroo ker kay!

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yeh kaisa khwaab tha dharrka sa lag gaya dil ko
ke ikk shakhs pareshaan mairi talaash mein haii

Yeh

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yeh masail-e-tassawaf, ye tera bayaan Ghalib
tujhe ham wali samajhtay jo na baada khwar hota

Alif

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Agarcha raastay mein Saad` bohat dilkash jazeere thay
mujhe harr haal mein laikin samandar paar jaana thaa..

Alif

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

aa'j insaa'N ka chahra tu hai suraj ki tarha
rooh maiN ghoor andheray k siwa kuch b nahi

"yeh"

Ye dard kee tanhaaiyaan ye dasht ka veeraan safar
ham log tou uktaa gaye apani suna aavaaragee

  • Chotee Yeh* :D

Yeh aur baat hay duSHman hua hay aaj mager
Woh mera dost THa kal tak usay bura na kaho

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Wafa Ke Waday Wo Saray Bhula Gaya Chup Chaap
Wo Meray Dil Ki Deewarain Hila Gaya Chup Chaap
Main Jis Ko Chhoota Hoon Ishrat Wo Zakhm Deta Hai
Wo Phool Aise Chaman Main Khila Gaya Chup Chaap

'Pay'

Paa ba'gil sab haiN rihaai kee karay tadabeer kaun
dast basta SHahar maiN kholay meri zanjeer kaun

naa paayaa ussey waQt ke daurR meiN bhi
garchey buhat meiN ney yaadoN meiN dhoondha
kahaaniyoN, afsaanoN meiN Anwaar paayaa
lafz-e-wafa jab bhi hayaatoN meiN dhoondha

alif''

Aaye kuch abr kuch sharaab aaye
us ke ba'ad aye jo azaab aaye

  • Baree Yeh* :D