yaad rakhnaa hamaari turbat ko
qarz hay tum pay chaar phoolon kaa
alif
Udaas shaam ka chehra udaas kuen na lagay
Keh teray naam ka ubhra koi sitara kab
Ana-e-zaat ka ab tk safer salamat hai
Zareef aankh say ojhal hai yay nazara kab
" Bay"
yaad rakhnaa hamaari turbat ko
qarz hay tum pay chaar phoolon kaa
alif
Udaas shaam ka chehra udaas kuen na lagay
Keh teray naam ka ubhra koi sitara kab
Ana-e-zaat ka ab tk safer salamat hai
Zareef aankh say ojhal hai yay nazara kab
" Bay"
Baat Kirdaar Ki hOtii hAi Wa-Garna Aarif
Qad Mein InsaaN Sey Saaya Bhi baRa hOta hAi
"Yee"
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Yeh zaroori tou nahin aag se jall jaye basharr...
kuch logon ko unke muqaddar jalaya karte hain
Noon
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Na Fana Meri Na Baqa Meri, Mujhe Aye Shakeel Na Dhoondeay
Main Kisi Ka Husn-e-Khayaal Hoon, Mera Kuch Wujood Adum Nahin
'Noon'
Naye mOusamon kO BulaaO Mat K mUjhey KhusbhOun Kii Talab Nahi
Meri Raah Rehnay dO Khaar Khaar Meray Liye tO Yahii Bahaar hAi
"Yee"
ye jannat mubaarak rahey zaahidoN ko
k maiN aap kaa saamanaa chaahataa huN
koii dam kaa mehmaaN huN aey ahal-e-mahafil
chiraaG-e-sehar huN, bujhaa chaahataa huN
noon''
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Nasir hum ko raat mila tha, tanha aur udaas
wohi puraani baatain uski, wohi purana rog
Gaaf
gaey dinoN kaa suraaG lekar kidhar se< aayaa kidhar geya wuh
ajeeb maanoos ajnabii thaa mujhey tou hairaan kar geya wuh
he''
ye
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
ye dastoor-e-wafaa sadiyon say raaij hay zamaany men
sadaay qurb di jinko, onhi ko door dekhaa hay ..............!
ye
Ya Tera Tazkara Karey Har Shakhs
Ya hUm Sey kOii gUftagU Na Karey
"Yee"
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Yaaarrr agyaarr sabhii ehl-e-tamashaa niklayy..
kitne tanha the k jab dakhil-e-maqtal huve hum
Meem
Meray jAltey hOye Ghar Kii NiShaanii Bhi Yahi hOgii
JahaaN Is Shehar Mein rOshnii DekhO Thehar jAna
"Alif"
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Aik bagoolay ki tarah dhoondte phirna tujh ko
ru'baru ho tou na shikwaa na shikayatt karrna
Alif
ik fursat-e-gunah mili, wuh bhii chaar din
dekhey heiN hum ney hosley Parwardigaar k
ye''
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Yeh mujh se poochiye kia justaju mein lazzat hai
fiza-e-deherr mein tehleell ho gayaa hoon mainn
Noon
Na dawa miley na nawa miley
terey dil meiN dard uttha karey
tu jo mout ki dua karey
teri umr aur daraaz ho
wao''
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Woh baat baat pe dayta hai parindon ki misaal
saaf saaf nahin kehta maira sheher chohrr dou
wao
Wuh humsafar jo baa'is-e-himat kabhi rahey
Sar-e-manzil ban kar, ajnabi miley they yuN
huwey raftagaa-e-yaar bhi angusht-e-ba'dandaaN
har gaam hi kaarwaaN ko, saraab miley they yuN
noon''
Re: Bait Bazi Month of September, 2008
Na janay kitne eradon mein batt gaya hai wujood
tumhain bhula bhii diya aur be-qarraar bhiii hoon..
Noon