Bait Bazi Month of September, 2008

na- jaaney tum sey naata jab sey chhooTa hey
Sadaa dil TooTney ki aati hey Shehnaai meiN
wuh naa samjhaa kuch bhi meri baatoN kaa mafhoom
meiN ney joRey they haroof raat ki siyaahi meiN

noon''

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Na koii simt, naa koii manzil, so qaafila kaisaa
rawan haii bheer faqat be-qayaass logon kiii..
main anay wale zamane se dar raha hon faraz`
k main ne daikhii hain aankhain udas logon kii

Yeh

yaadoN k diye hum ney jalaaey they raat bhar
dam-e-subah yuN laga bujhaaey they raat bhar
jungle meiN ajab ehsaas-e-wehshat k darmiyaaN
baRhtey rahey ashjaar k saaey they raat bhar

re''

Roshni yay kaisi aati hai meray kamray maiN
Aks tera hi dikhati hai meray kamray maiN
Yaad un lamhooN ki, jo sath teray beet ga'ay
Raat bher mujh ko jagati hai meray kamray maiN

" Noon "

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

nazuki uske lab ki kya kahiye
pankhadi ik ghulaab ki si hai

Noon

(Mir Taqi Mir)

^… TLK bhai sab yay “hai” ka end “Noon” per kab say honay laga :konfuse:

Yay sangraizay adawatooN k, wo aabgeenay sakhawatooN k
Dil-e-musafir qabool ker lay mila hai jo kuch jahaN jahaN say

“Yay”

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Yaaro Ye Daur Za'af Basarat Ka Daur Hai
Aandhi Uthay To Uss Ko Ghata Keh Lia Karo

'Wow'

Wo khail khail maiN hota gaya bohot mohtaat
Hansi hansi maiN hum apnay hawas khoo baithay
Asar hoa teri zid ka kuch is trha say keh hum
JudaiyooN kay tasalsul maiN aas kho baithay

" Yay "

Yeh Socha Tha Brastii Aankh Us kO rOk Ley Shaayed
MaGar AshkOn Ki KarriyOn Sey KahaaN Zanjeer Bantii hAi
Hazaar Baar Ki kOshish Magar mUmkin Nahien
Bhala KhUd Hii Bananey Sey KahaaN TaQdeer Banti hAi


"Yee"

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

ye aur baat hay k na izhaar karsaken


wo dil hi dil men daad-e-jafa chahty tu hen


noon

Naheen tera nashaiman kasrey sultani k gunbad par
tu shaheen hey basera kar pahaRon ki chatanoN par

Re''

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Rug Rug Main Uss Ka Lums Utarta Dikhai De
Jo Kefiat Bhi Jism Ko De Intehai De

'Ye'

ye tou nahin k Ghum nahin
haaN merii aaNkh nam nahin
tum bhii tou tum nahin ho aaj
ham bhii tou aaj hum nahin

noon''

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Nashaa dono mein hai saaqii mujhe Gam de ya sharaab
Mai bhii pii jaatii hai aansuu bhii piye jaate hain

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Na hO Un Pey jO Mera Bus Nahien Keh Yeh Aashaqii hAi Hawas Nahien
Main Unhii Ka Tha Main Unhii Ka hOn wO Meray Nahien tO Nahien Sahii

"Yee"

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

yahaan kisi ko kabhi hasb-e-aarzoo na milaa

kissi ko ham na mily, aur koi hamen na milaa

alif

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

Uss Se Ek Baar To Roothon Main Usi Ki Maanind
Aur Meri Tarah Se Woh Mujh Ko Mananay Aye

'Ye'

Yay mashghala hai kisi ka na janay kia chahay
Na faslooN ko mita'ay na faisla chahay
HazarooN doobnay walay bacha liyay hum nay
Usay maiN kaisay bachaooN, jo doobna chahay

" Yay "

*** YahaaN Har Kisi Sey Hi Bair hAi Tera Shehar Qariya e Ghair hAi ***
*** YahaaN Sehal Bhi tO Nahi kOii Meray Be-Khabr tUjhey dhOondna ***


"Alif'

Re: Bait Bazi Month of September, 2008

ummeed pursish-e-gham kissay kijye nasir ?

ju apny dil pay guzarti hay koi kiyaa jaanay ?

ye