Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

thnx :slight_smile:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Nee'yat-e-Shoq Bhar Na Jaye Kaheen
Tuu Bhi Dil Se Utar Na Jaye Kaheen

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

nigar e waqt ab isay laho say kia chaman karen
ye dasht e jaan k hanpta raha saraab ourh kar

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Rait Se Bu'tt Na Bana Ay Mere Achhay Fankaar
Aik Lamhay Ko Theher Main Tujhay Pathar Laaduu'n

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Nayee tarhan say nibhaaney ki dil nay thani hai
Wagarna tujh say mohabbat bohot puraani hai

yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ya sari umar kis ashuftagi main ragayan kar di
usi ko yad rakha ha jisay dill se bhulana tha

alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Uski nafrat bhi mohabbat hogi
Meray baarey wo sochay toh sahi

yeh

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

yeh kaisa khwaab tha dharka sa lag gaya dil ko keh ek shakhs pareshaan meri talaash mai hay

ye :hoonh:

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Ya barish-e-sang ab kay musalsal na hui thi
Ya phir mei tery shehr ki rah bhol gaya tha

alif :yummy:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


aik aur darya ka samna tha muneer mujh ko
main aik darya ke par utra to maiN ne dekha

alif

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Ab iskay siva yad nai jashn-e-mulaqat
Eik matmi jugno meri palko pay saja tha

alif :wave:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Aa keh ab taslim kar lain Tu nahi to hum sahi
Kon manay ga keh hum main bewafa koi nahi

---> ey

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

i guess "noon" hai

na ujjaR sakaiN na bikhaR sakaiN
kabhi dil dukha'oo Tu Iss tarha
na bikhaR sakaiN na simat sakaiN
kabhi bhool Jaa'oo tu Iss tarha
"alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ab ke rut badli to khushboO ka safar dekhay ga kon
zakhM phooloON ke tarha mahkain gay par dekhay ga kon

noon

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

nagaR nagaR woh bikhray haiN zulam k manzaR humari rooh k chaa'lay b soo'agh keRtay haiN usay kahoo k sitam maiN wo khuch kami keR de k zulam tornay walay b soo'agh keRtay haiN "noon"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


na tujhay maat hoee hay na mujhay maat hoee
soo ab kay doono hi chaalain badal kay daykhtay hain

noon :D

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

nazaR milaa na sake us se us nigaa'h k baad vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaa'h k baad maiN kaisey auR ki simat moRataa Khud ko kisi ki cha'h na thi dil meiN teri cha'h ke baad "daal"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Do jaam un ke naam bhi ay peer e maykadha
Jin raftagaan ke saat hamysha sharaab pee

--> ey

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye zarori nahin har shakhs maseeha hi ho
Pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo

wow(won't often work) factor.

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


wo mila bhi to sadyooN bad meray lab pay koi gila na tha
usay meri chup nay rula diya jisay guftogoo maiN kamal tha

alif :)