Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Akhir akhir sachy bol bhi chubhty hain dil walon ko
Pehly pehly pyar kay jhoty wady achy lagty hain
noon nalaiq pandi.
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Akhir akhir sachy bol bhi chubhty hain dil walon ko
Pehly pehly pyar kay jhoty wady achy lagty hain
noon nalaiq pandi.
Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007
nahin mumkin us ko pana tu phir us se kyun milain ham karain justugu bhi kyun ham is soch main paray hainye ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
[FONT='Courier New']
Ye to Waqt kay bas mein hay kay kitani Mohalat de
Warna bakht Dhekanay mein der kitni lagti hay
"Ye"
Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007
Ya Rab hujoom-e-dard ko de aur wusatain Daaman to kya abhi meri aankh bhi nam nahinye ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Yahan say ab kahin lay chal khayaal-e-yaar mujhey
Chaman mai raas na ayeegi yeh bahaar mujhey
yeh
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye
Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007
yay dukh nahin ke andheron se sulha ki ham ne
malal tu yay hai ab subha ki talb bhi nahin!!
noon ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Rishta hay kaisa ye Nataa hay kaisa
Tere tun ki Khushbu bhi Lagati hay apni
"Ye"
Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007
Nahi mumkin uss ko pana tu phir uss say kiun milay hum
Karain justujoo bhi kiun hum iss sooch may parain hain
“Noon”
Sorry H-Tech, I missed ur post
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Na Ker Iss Tarha Tuu Meri Aarzu
Rai'gaan Jaye Gi Ye Teri Justuju
'Wow'
(Ahmer)
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zamana laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
"Alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Usay Kaho, Buhat Na'Muraad Shay Hai Junoon
Usay Kaho, Mujhe Hai Buhat Junoo'n Uss Ka
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Bhi Nahi Ke Meray Bulanay Se Aagaya
Jab Reh Nahi Saka To Bahanay Se Aagaya
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Apni tanhai mere naam pe abaad karay...
Kaun hoga jo mujhe is tarha say yaad karay?
Dil ajab sheher, keh jis per bhi khulla dar iska...
Woh musaafir issay her simt se barbaad karay!
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Yaad-e-Maazi Azaab Hai Ya'Rub
Chheen Le Mujh Se Hafiza Mera
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aawaaz agar hoti, Geeton mein saja leta
Tum Raaz agar hotay, Mein Dil mein chhupa leta
"Alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Apney Apney hausle apnii talab kii baat haii...
chun liya hum ne unhain sara jahan rehne diya
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Andaaz Hu'Bahuu Teri Aawaz'Pa Ka Tha
Dekha Palat Ke Hum Ne To Jhonka Hawa Ka Tha
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aqal rah-e-mohabbat say guraizaan thi magar dil ko
faqat zakhmon say ulfat thi issay naraz kiaa kartay
Yeh