Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

najanay kon duaaon main yaad karta hay
main dobta hoon samandar uchal deta hay:bb:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

yunhi ankhon se ansu behte nahi hen,
kisi aur ko hum apna kehte nahi hen,
ik ap ho jo zindagi men ruk se gae ho,
warna rukne ko hum kisi se kehte nahi hen.

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

na dekho is qadar bay aetbaari say mujhe tum
yahi sach hay hamara samnah mumkin nahi hay

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Yeh ter’gi mery gher ka he mukader kiun ho
Mein tery shehr kay sary diay bhuja donga
:2guns:

“alif” :faizy:

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

itna hi bohat hai kay dil usko dhoond laya hai kisi kay sath hi sahi woh nazar to aya hai

ye :smiley:

adab arz hai :cb:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh janum janum ka safar hay tash'nagi apni
Khaana e dil main tera naam safar rakha hay

Adab

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye kaisa nasha hai mein kis khumaar mein hooN
tu aa k jaa bhi chuka hai maiN intezaaR mein hooN

"noon"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


Na tu khuda hey na mera ishq farishtoN jesa
donoN insaaN heiN to kiuN itney hijaaboN meiN milai'N

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye auR baat hai k tum aaye ho to koi nahiN
wagarna gham to yahan beshumar rehtay heiN

'noon"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Nahi Nahi Humain Teri Justuju Bhi Nahi
Hum Tujh Ko Bhool Gaye Teri Khushi Ke Leay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh Keh Kay DIL Nay Mayray Hoslay Barrha'ey Hain
Ghamoo'n Ki Dhoop K Aagey Khsuhi Kay Saa'ey Hain

NooN

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Nazuki Uss Ke Lub Ki Kia Kaheay
Pankhari Ek Gulaab Ki Si Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Youn Rayzaa Rayzaa Hogayaa Sapnoo'n Ka har Mahal
Main Bikhree Khwahishoo'n Ka Badan Jorrta Rahaa !!

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Uss Ne Hansi Hansi Main Muhabbat Ki Baat Ki
Mainay Adeem Uss Ko Mukernay Nahi Diaa

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Aankhoon Main Aanso'on Ko Ubharnay Naheen diya
Mitti Main Motoyoo'n Ko Bikhatnay Nahee'n Diya
Itnay Barray Jahan Main Ja'ey Ga Tou Kahaan
Is Ek Khalayaal Nay Mujhay Marnay Naheen Diya

alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ik chand sa chehra tha sar e baam e tammanna
ik khuwabsa aankhon main chamaknay k liye tha

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Usay Kehna Ke Palkon Pe Na Taa'n'kay Khuab Ki Jhaa'n'ler
Samander Ke Kinaray Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

un say jo kehnay gaye thay faiz jaan sadqa kiye
an kahi he reh gai wo baat sab baton k bad

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Do Chaar Lafz Keh Ke Main Khamosh Hogaya
Wo Muskura Ke Bolay, Buhat Boltay Ho Tum

'Meem'

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

aap ka avatar bohat cute hay :hehe: dekhtay h hansi aanay lag parti hay :hehe:

main kaat sakon ga tanha na tum kaat sako gay
ye zeest k kathin rastay , aao hamsafar ban jaain