Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye haiN sab varaq terii yaad ke
koii lamhaa subah-e-visaal kaa ka_ii shaam-e-hijR kii qurbateiN
"noon"
AQ
October 1, 2007, 3:54am
3
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Naa paak jissay kehti thee Mashriq kee shariat
Maghrib kay FaqeehouN kaa yeh Fatwah hai kay hai paak
"KAAF"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
kheench lien khud lakerain hum nay apnay hath par
kis ko fursat thi kay hathoo'n ka muqadar dekhtay
ye
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ya'Rub Shab-e-Hijraa'n Main Itna To Kia Hota
Jo Haath Jiger Per Hai, Wohi Dast-e-Duaa Hota
'Alif'
immu
October 1, 2007, 5:28am
6
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Is shart pe kheloon gi mein pyar ki bazi
Jeetoon to tujhe paaoon Haroon to piya teri
(ye)
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Kia Ke Bayaa'n Sab Se Dil Ki Haalatain Kerni
Faraaz Tujh Ko Na Aaee Mohabatain Kerni
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye kaisi doori he hamare beech,
Anchahi majboori he hamare beech,
Lakh koshishon ke bad bi na aa sake kareeb,
Kaisi lakho mil ki doori he hamare beech
"Che"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Chandd Kaliyaan Nishaat Ki Chunn Ker
Mudato'n Mehw-e-Yaas Rehta Hoon
Tujh Se Milna Khushi Ki Baat Sahi
Tujh Se Mil Ker Udaas Rehta Hoon
'Noon'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Najaaney hogaya hoon isqadar hassaas mein kub say
Kisi say baat karta hon tou aankhain bheeg jaati hain
~ Wasih Shah
"Noon"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Nee'yat-e-Shoq Bhar Na Jaye Kaheen
Tuu Bhi Dil Se Utarr Na Jaye Kaheen
'Noon'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Na tootay aor kuch din tujh say rishta is tarah mera
Mujhay burbaad kardey tou, magar aahista aahista
"Alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Usi Aik Shakhs Ke Wastay Meray Dil Main Dard Hai Kis Leay
Meri Zindagi Ka Mutaliba Wohi AIk Fard Hai Kis Leay
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye kya ke tum hi Gham_e_hijr ke fasaane kaho
Kabhi to us ke bahaane suna karo us se
Faraz tark_e_taaluq to kher kaya ho ga
Yehi bahot hai ke kam kam mila karo us se
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Bhi Aadaab Hamaray Hain Tumhain Kia Maloom
Hum Tumhain Jeet Ke Haray Hain Tumhain Kia Maloom
'Meem'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Men bhii shayad bura nahei hota
Vo agar bevafaa nahein hota
"Alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Iss Qadar Musalsal Theen Shidatain Judai Ki
Aaj Mainay Pehli Baar Uss Se Bewafai Ki
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Yeh Hayaat e Mukhtasir Hee Kaattni Dushwaar Hay
Kiya Karoonga Lay Kay Umr e Javaydaa'n Tayray Baghair
Ray
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Roote hain dil ke zakham to hansta nahi koi
Itna to faida tanhaion se hai
ye*
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye tumhari talkh nawiya koi aur sah kar dekha to day
ye jo hum mai tum mai nibhah hai meray hoslay ka kamal hai
ye