Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yehii dill tha tarasta tha marasim key liye
ab yehi tarq-e-ta'alluq k bahane mange...
dil kisi hal pe qaa'ne hi nahin jaan-e-Faraz
mil gaye tum b to kya aur na jaane mange

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

yeh kia k sub say bayan dil ki halatain karni
faraz tujh ko na ayin mohabbatain karni
"yey"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Juda'ion Ke Rastay Bari Duur Tak Gaye Hain
Jo Gaya Wo Phir Na Aaya, Meri Baat Maan Jao

'Wow'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

*Woh khaloos tha ke khumar tha
Woh janoon tha ke saraab tha
Mujhey sochney mein zamana laga
Mujhey munzilon ne bhoola diya *

"Alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Unhain Pukaro Jo Kho Gaye Hain Udaas Maazi Ke Junglalo'n Main
Ujaar Sochon Main Rung Bhar Lo, Gayee Ruto'n Ka Hisaab Ker Lo

'Wow'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Woh kuch sunta to mein kehta, mujhay kuch aur kehna tha
Woh pal bhur ko jo ruk jata mujhay kuch aur kehna tha
Ghalat fehmi nay batoan ko bhara dala yuhein warna
Kaha tha kuch ,woh kuch samjha, mujhay kuch aur kehna tha

"Alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Acha Hai Dil Ke Paas Rahay Paas'baan-e-Aql
Lekin Kabhi Kabhaar Isay Tanha Bhi Chhor De

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yuun tu likhnay ko kya nahi likha mainey **
**Phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha mainey

"YE"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-e-Yaar Hota
Ager Aur Jeetay Rehtay, Yehi Intezaar Hota

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ub kay yun dil ko saza di hum nay
Us ki har baat bhula di hum nay
Eik Eik phool Buhut yaad aaya
Shakh-e-Gul Jub wo jala di hum nay

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Bhi Mumkin Hai Kisi Roz Na Pehchanuun Usay
Wo Jo Her Baar Naya Bhes Badal Leta Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


yaqeen hai dhokay main Aa k Utra hai chand paani Ki saltnat maiN
bulandioN say dikhai daita hai hubahu aasmaa'N samandar

"rey"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ranj Kitna Bhi Karain Unka Zamanay WalaY
Janay Walay Tou Naheen Lautt Kar Aanay WalaY
Kitni Bay-faiz See Rah Jaati Hay Dil Ki Bastee
Kitnay Chup Chaap Chalay Jatay Hain Janay WalaY

YaY

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


yaad karney ke siwa ab kar bhi kya saktey hain
bhool janey mein tujhey nakaam ho janey ke baad

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

dhoop to mujh ko behad achhi lagti hai zakhm ka suraj dil main jalta rehta hai hum bhi kinare pehron baithe rehte hain jashkon ka talab bhi thehra rehta hai "ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahi Kertay
Malaal Kion Nahi Hota Malaal Hota Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Youn Tayree Chahatoon Say Guzray Hain
Jaisay koi Hesaar Say GuzraY !!
Khwaab Main Tou Naheen Mila Aur Hum
Baadaloo'n Ki Qataar Say GuzraY !!

YaY

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Bhi Nahi Ke Tum Hanso Buhat Magar
Ro Ro Ke Mai'kaa Na Bharo Khush Raha Karo

'Wow'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Wo Bat hi thi Kuch Aisi K Haar Maanay Thay
Wagarna Apnay B Qadmon Talay Zamany Thy
Ye Kya K Hath Jafa Se Utha Liya Tu Ne
Humain Tu Hoslay Apny B Azmanay Thy

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Wo Bat hi thi Kuch Aisi K Haar Maanay Thay
Wagarna Apnay B Qadmon Talay Zamany Thy
Ye Kya K Hath Jafa Se Utha Liya Tu Ne
Humain Tu Hoslay Apny B Azmanay Thy

"Ye"