Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

**Yun hum ko satane ki zaroorat kia thi
dil mera jalane ki zaroorat kia thi

Jo nahi tha ishq to keh diya hota
Dil torr k jane ki zaroorat kia thi**

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yun Bhi Nahi Ke Meray Bulanay Se Aa Gaya
Jab Reh Nahi Saka To Bahanay Se Aa Gaya

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


aik chand hai kho'ya khoo'ya saa soni chaat pe tanha tanha
maiN bhi hooN idhaR tanha wo bhi hai udhaR tanhaa

"alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Aaj Phir Un Say Mulaqaat Hovee Hay MohsiN
Aaj Phir DIL par Koi Zakahm Laga Ho Jaisay ....

Yay

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye hijaR k sehRa hai yahaN visal k badal
chaa jatey haiN lakiN kabhi baRsa nahi kaRtey
ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye ajeeb khail hai pyar ka mane ap dekah ye mojza
woh jo lafz meray gumaa'n mai thay woh teri zubaan par ageye

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab kay mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai kay keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho
'wow'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


wuh keh kushbo0o ki tarhaan phaiLa tha mere char so
main osy mehsoos kersakta tha ' choo sakta na tha

Alif

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Ab tak dil-e-Khush feham ko tujh sei hein umedein
yei akhire shamein bhi bujhane ke liye aa

‘alif’ :confused:

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

^ :smilestar:

Ab faraz apnay maseeha say umeed na rakh
woh tang-dil hai aur teray zakham main hai gheraee bohat

tay :smiley:

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

^ :sadaf: :hug:
Tasveer banata hoon, Tasveer nahi banti,
Ek Khawaab sa dekha hai, Ta’abir nahi banti

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

:halo:

yad karna bhi na chaho gaye per yad ayan gay ham
teray khawabon teri nindon pe cha jain gay ham
meri tasveer ko dekho gay har shay main magar
teri phonch se boht door jab ho jain gaye ham

Mmm meem :slight_smile:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Mohabbat tark ki maine girabaan see liya maine
Zamane ab tou khush ho zehar ye bhi pi liya maine

'ye'

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Yeh Hami They Jin Key Libas Per Sar-E-Rah Siyahee Likhee Gayee Yahee Daagh They Jo Saja Key Ham Sar-E-Bazm-E-Yaar Chaley Gayey

ye:smack2:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa Isay Dekh Iss Pe Yaqeen Na Rakh
Nahi Akss Koi Bhi Mustaqil Sir-e-Ayena Usay Bhool Ja

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ek hook si dil main uthti hai, ek darad sa dil main hota hai
Bedard zamana kia jane is pyar main kia kia hota hai

"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


zinda rahein to kya hai mar jaayein ham to kya
ik khaab hain , jahan mein bikhar jayein ham to kya

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Acha Khaasa Bethay Bethay Gum Ho Jata Hoon
Ab Main Aksar Main Nahi Rehta Tum Ho Jata Hoon

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahi Kertay
Malaal Kion Nahi Hota Malaal Hota Hai

'Ye'