Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Woh oor hongay jinhain mout aagaii hogi
Nigah e yaar se paaii hay zindagi hum ne

ey---?

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

^ey nahi ye hai :snooty:

ye shor-o-sher hai tu keoN hai ye kis se poochnay jaa'ooN ye kis tarha ka janooN hai ye kis se poochnay jaa'ooN

“noon”

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

hummmm

Na tanz kar keh kaii bar keh chuka tujh se
Woh meri pehli mohabat to mera mazi tha

-------> A

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ak baras ki rafqat mien ho gia tha yaqk'saniat ka shekar neya dost dhond liya hai es ne tabdee'leey mezaj key liya
"alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ab kyon na zindagi pe mohabat ko war dain
ess asheqi main jaan se jaa'na bohut howa

---> A

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


aiey shoaq-e-nazara kia kahiey nazroon maiN koi surat he nahi
aiey zoaq-e-tasuvar kia kijiey hum tasveer-e-jaa'na bhol gaaey

"ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo Batain Na Banao Insha Jee
Ye Tumhara Apna Hai Isay Chhor Na Jao Insha Jee

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh loug kyun mujhe pehchante nahin Mohsin`
main sochta hon kahan reh gaya maira chehra

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Isi Andaaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yaad Aaonga

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Aata haii jo khushi ki intiha parr..
Bohat roye hain us ansso ki khatir

Rey

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Raaz Ro Ker Na Apna Bataya Karo
Muskura Ker Ghamon Ko Chhupaya Karo

'Wow'

PS: merinazm q nahi parh rahi aap :(

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Woh kuch sunta to mein kehta, mujhay kuch aur kehna tha
woh pal bhur ko jo ruk jata mujhay kuch aur kehna tha

"Alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

PS: ROMAISA, Shayad Mood mein nahi hay :D

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

**wo muj ko toot k chahe ga, chor jae ga
muje khabar thi use ye hunar b ataa hai,
wafa ki konsi manzil pe us ne chora tha
k wo to yaad hume bhool kar bhi ata hai.

-ye-
**

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Romaisa ?? ..Nice name, mujhe b pasand hai :jano:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yun tarrapti hai tairi yaad mairay kamray main
koi perchaii karay jaisay jattan shaam k baad

Daal

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Dekha jo teer kha ka kameen gah ki taraf
apne hi doston se mulaqat ho gae.

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yehh jo raat din mairay saath hain wohi ajnabi ke hain ajnabi
wo jo dharkanon ki asaas thay wohi log hum say bichar gaye

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


Yun Hi Umeed Dilatay Hain Zamanay Walay
Kab Palat Tay Hain Bhala Chor Ke Janay Walay

"ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Theek hai Koi Marta Nahi Judai Main
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Karay

'Ye'