Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye nahi kehte k tuj bin jee nahi paen ge hum
han hamari zindagi men ik kami reh jae gi.
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye nahi kehte k tuj bin jee nahi paen ge hum
han hamari zindagi men ik kami reh jae gi.
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Masaa'il-e-Tasawwuf Ye Tera Bayaan Ghalib
Tujhe Hum Wali Samajhtay Jo Na Baada Khuaar Hota
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ik aag gham e tanhai ki jo sare badan men phel gae
jab jism hi sara jalta ho to daman e dil bachaen kia
-alif-
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Iss Baar Jo Eendhan Ke Leay Kutt Ke Gira Hai
Chiryo'n Ko Bara Pyaar Tha Uss Boorhay SHajar Se
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Yeh bad-gumaani hai kaisi qareeb hotey huwayy
wo sath chalne mein kuch dooriyan bhi rakhta hai
yeh
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Ajeeb Khel hai Ishq Ka Mainay Aap Dekha Ye Moj'za
Wo Jo Lafz meray Gumaan MainThay Wo Teri Zubaanb Pe Aa Gaye
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Yaad rahey ga humko ye daur-e- hayyat bhi
k zinda reh ker bhi tarse the zindagi k liye..
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa Isay Dekh Iss Pe Yaqeen Na Ker
Nahi Akss Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Ayena Usay Bhool Ja
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aaiyna bhi hamara ab be-imaan ho chala haii
jab bhi dekhta hoon tum hi tum nazar aate ho
wao
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
wo jo milta hai bicharta hai bhula deta hai
jane kis baat se dil us ko dua deta hai
wo muje payar se rote men hansane wala
yaad ata hai to hanste men rula deta hai.
-ye-
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahi Kertay
Malaal Kion Nahi Hota Malaal Hota Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye hum b jaante hain zindagi ik khvab hai afsar`
magar is khvab ki aakhirr koii ta'beer bhii hogii
yeh
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Ghazi Ye Teray Pur'Israar Banday
Jinhain Tunay Bakhsha Hai Zoq-e-Khudai
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye soch kar hum ne hansne ka hunar sikh liya
Dard rakhna hai to phir deeda-e-ter kia rakhna
"Alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ibtida-e-Ishq Hai Rota Hai Kia
Aagay Aagay Dekh Hota Hai Kia
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aey muhtasab-e-shehar nahin tujh se shikyat
hum khud hi dil-o-jaan ki tabahi ka sabab hain
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Najanay Kaunsa Asaib Dil main Rehta Hay
Keh Jo Bhi Tehra Aakhir Makan Chorr Gaya
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
aik muhabbat kahi hai
Baqi umar izaafi hai !
-ye-
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye saanihaa bhi muhabbat mein barhaa guzara
Ke us ne haal bhi pucha to Aankh bhar aayi
"Ye"