Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Na jaane kaun sa Fiqra kahan raqm ho
Dilon ka haal bhi ab kaun kis se kehata hay
Mere Badan ko nami kha gai Ashkon ki
Bhari bahar mein jaise makan Dehta hay

"Ye"

PS: See ya Shumaisa, Have nice time

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ye kyaa jaane me.n jaanaa hai, jaate ho Khafaa hokar
mai.n tab jaanuu mere dil se chale jaao judaa hokar

"Ray"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ragon mein doorne phirne ke hum nahi kaail
jo aankh hi se na tapke wo lahoo kia hai

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye such sahi k bane thay tum jeene ki wajah
magar dekho kismat ka faisla nikla alag aaj bhi

"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

yuu.N to hangaame uThaate nahii.n diivaanaa-e-ishq
magar ai dost kuchh aiso.n kaa Thikaanaa bhii nahii.n
muddate.n guzarii.n terii yaad bhii aaii na hame.n
aur ham bhuul gae ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n

"NooN"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Na Kaheen Se Duur Hain Manzilain Na Koi Qareeb Ki Baat Hai
Jisay Chahay Uss Ko Nawaaz De Ye Dar-e-Habib Ki Baat Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ye aur bat k meri ana jata na saki
mujhe junon tera her junon say barh k raha

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

very very nice :k:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Unse milne ko dil beqraar sa rehta hai Har ghari har pal intzaar sa rehta hai Ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ye raaz hai merii zindagii kaa
pahane huye huu.N kafan Khudii kaa
phir nashtar-e-Gam se chhe.Date hai.n
ik tarz hai ye bhii dil dahii kaa

"Alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

apni apni Justuju hai apna apna shauq hai **
**tum hansi tak b na puhunche ham fugaan tak aa gae


ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


Yeh to waqt ke bas mein hai ke kitanii mohalat dey
Vernaa baKht Dhalnay mein der kitanii lagatii hai

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

YEH OR BAAT HAI KE IZHAR HO NA SAKA HUM SE
NAHI HAI TUM SE MOHABBAT YEH KAUN KEHTA HAI

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye khayal kesa khayal tha jo Rooh tak main utar gaya
ye wujood kesa wujood tha jisay ab tak main na samjh saka

alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Agar ehsaas ho to mohabbat ko kar lo mehsoos
Yeh woh jazba hai jo lufzon mein samjhaya nahi jata

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ata hi nahi dil mein rihayee ka tasawur
bohat abjeeb jurm-e-mohabbat ki saza hai

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yoon Dil Ko Her Ek Shaks Per Wara Nahi Kartay

Aankhon Main Her Ek Aks Utaara Nahi kartay

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


Yeh jo bayan karti hai ankhen woh lab kaise kahe,
Sabhi toh sun liya humne par itmenan nahi hota.

alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Aik duniya muntazirr hai aur tairi bazm mein...
is tarah baithe hain hum jaise kahin jana nahin

Noon

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Naram Lafzoo sey bhi lag jati hain chotien aksar dosti berha nazak sa huner hoti hai dostoo
"wao"