Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ye ek hi chehRa to, nahi saRe JahaN meiN
Jo door hai wo dil se utaR kyon nahi jata...

alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere hai.n
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab tere hai.n

"NooN"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

*najane wo konsi majborioN ka qaidi Ho *
*wo saath choRr gaya tou bewafa na kaho *


"wao"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

:)

vo to duniyaa ko merii diivaangii Khush aa ga_ii
tere haatho.n me.n vagarnaa pahalaa patthar dekhataa
aa.Nkh me.n aa.Nsuu ja.De the par sadaa tujh ko na dii
is tavaqqo par ki shaayad tuu palaT kar dekhataa

"AliF"

2 Likes

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

aey dost hum ne tark e taaluq k bawajod
mehssos ki hay teri zarort kabhi kabhi

ye

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ye barshoon se dosti acchi nahi faraz
Kacha tera makan hai kuch to khayal kar

Ray

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Rahay saath saath har pal na gumaan hua yeh mil kar
Jisay doosti thay kehtay woh kuch aur silsilay hain

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Nahi Aati To Un Ki Yaad Maheenon Tak Nahi Aati
Magar Jab Yaad Aatay Hain To Aksar Yaad Aatay Hain

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

na gae dino.n ko Khabar merii, na shariik-e-haal nazar terii
tere des me.n, mere bhes me.n, koii aur thaa koii aur hai
vo merii taraf nigaraa.N rahe, meraa dhyaan jaane kahaa.N rahe
merii aa.Nkh me.n kaii suurate.n, mujhe chaahataa koii aur hai

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Kis Maqaam Pe Soojhi Tujhay Bicchernay Ki
Ke Abb To Jakay Kaheen Sanwarnay Walay Thay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh faaslon key saraabon se sair ho na sakey
na jaane tashnagi kitni hai maire paaun mein

Noon

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Nigah-e-Mard-e-Momin Se Badal Jati Hain Taqdeerain
Jo Ho Zoq-e-Yaqeen Paida To Kat Jati Hain Zanjeerain

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Najm-e-sehar ke chehray se insha itni b umeedain na lagao
aisa b ham ne dekha hai aksar raat katay aur subah na aaye

Yeh

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Ye Kahan Ki Dosti Hai Ke banay Hain Dost Naasih
Koi Chaara’saaz Hota Koi Gham’gusaar Hota

‘Alif’

PS: Shumaisa.. :salam: kese ho aap? kahan ghayen rehtay ho?

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Abb qismatt hii mila dey tou milaa dey warrna...
hum to bichre hain andhiyon main parindon ki terah

Hey

Ws Ahmer.. Bilkul theek thak, aap kaise ho ??
Mairi bhanji ka birthday tha, uss mein bzy thii..

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Hadd Se Barh Ker Haseen Ho Jaye
Wo Ger Udaas Ho Bethay

'Ye'

PS: B'day inna lamba.. :s
btw kesa raha?

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

YE JO HASNA HASANA HOTA HAI
RONAY KO CHUPANA HOTA HAI

"ye"

PS: AOA Shumaisa

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Yun dekhtay rahna usay acha nahin Mohsin`
woh kanch ka paiker hai to pather tairi ankhain

Noon

Uss se pehle tou Eid thii na :blush:
Achaa… Jab sab saath hon to maza to aata hi hai.

Ahmer guest aa gaye hain, 2 bajay ka kaha tha ab pohanche hain :bummer:
Apna khayal rakhna.. Allah Hafiz.

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ws Arsalaan..

:(

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

tc Shumaisa..