Bait Bazi--Month of Oct--2007

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

yeh bhi mumkin hai kisi roz na pehchano ussay
wo jo har roz ek naya bhais badal laita hai
baar ha mujh say kaha tha meray yaro nay wasi
ishq darya hai jo bachon ko nigal laita hai

"yey"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yahi bohat hai k qayam rahay wafa ka bharam
Koi kisi ka howa bi hai ummer bhar k liyey

"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yehi nahin k maira dil hi maire bass mein na tha
jo tu mila tou khudh apnii dastaras mein naa tha
ajabb seharr kaa aalam tha uskii qurrbat meinn
wo maire pas tha aur mairi dastaras mein na tha

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ana ki qaid se nikle muqabla to karay
Wo mera saath nibhane ka hosla to karay
Kabhi na tootnay wala Hisaar ban jaon
Wo meri zaat main rehnay ka faisla to karay

"Ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

**ye chiRaagh-e-jaaN b ajeeb hei k jala huwa hei abhi talak** **teri bewafaai ki aaNdhiyaaN to kabhi ki aa ke guzar gaeeN** **noon**

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa
apanii biitii jag biitii hai jab se dil ne jaan liyaa
ha.Nsate ha.Nsate jiivan biitaa ronaa dhonaa bhuul gayaa

"Alif"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

^^Wah! Subhan Allah

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ab teRay aitabar se darnay laga hai dil thora sa meray wastay tu badguma'N b ho "wao"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Waa rehne de ya-rab dar e toba keh abhi to
Hasrat hi kahan tetray gunnah'gaar ki nikli

-->ey

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye hijaR ka sehra hai yahaN vasal k baadal
chaa jaa'tey haiN lakiN kabhi baRsa nahi kaRtey

"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Yeh aur baat hai keh sharminda-e ta'abeer na hon har zehen main warna kuchh Taj Mahal hotay hain Noon

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

**na janay kon hai jis ki talash maiN NASIR** **heR aik saans mara ab safaR maiN rahta hai** **** **"ye"** ****

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

ya apney paon main mujhay girnay say rok day ya meri lagzashon ko ibadat shumar kar Ray

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


rahi naguftaa mere dil meiN daastaa'N meRi
na is dayaar meiNsamjhaa koi zabaa'N meRi

"ye"

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

ye ishq nahi asaa’n bus itna samajh lijiye
ek aag ka dariya hai aur doob kay jana hai

ye :blush:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007


ye mojazaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
ki sang tujhape gire aur zaKhm aaye mujhe

"ye"

Re: Bait Bazi–Month of Oct–2007

Good Going Guys :k:

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Bhi Mumkin Hai Kisi Roz Na Pehchanu'n Usay
Wo Jo Her Baar Naya Bhes Badal Leta Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Youn Wehshat e Rukhsat Main Na Is Dil ko rak'kha Ja'eY
Janaa Hay Kis'si Ko Tou Achanak Hee Chala Jaa'eY !!

Yay

Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007

Ye Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootnay Pa'yen
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Ker Kuch Nahi Milta

'Alif'