Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aasman aas liye hai kay yeh jaadu Tootay
Chup ki zanjeer katay, waqt ka daaman chotay
Day koi shunk duhayi, koi Payal bolay
Koi but jaagay, koi Saanwalee ghoonghat kholay
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Aasman aas liye hai kay yeh jaadu Tootay
Chup ki zanjeer katay, waqt ka daaman chotay
Day koi shunk duhayi, koi Payal bolay
Koi but jaagay, koi Saanwalee ghoonghat kholay
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Bhi Nahi Ke Tum Hanso Buhat Magar
Ro Ro Ke Mai'kada Na Bharo Khush Raha Karo
'Wow'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Woh Sahil Woh Mitti Geeli, Mitti Ke Gharondey Sahil Per
Sahil Ki Bipherti Mojoon Se, Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye Ishq Nahi Aasaan Bus Itna Samajh Lejay
Ek Aag Ka Darya Hai Aur Doob Ke Jaana Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye kia keh bayaan sab say dil ki halaten karni
faraz tum ko na ain muhabbaten karni
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
"alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ab koi ay to kehna keh musafir to gia
ye bhi kehna k bhalla ab bhi na jata logo
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
"ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
yahaa.N par sirf guu.nge aur bahare log basate hai.n
Khudaa jaane yahaa.N par kis tarah jalasaa huaa hogaa
chalo ab yaad_gaaro.n kii andherii koTharii khole.n
kam_az_kam ek vo cheharaa to pahachaanaa huaa hogaa
"Alif"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Na Tha Kuch To Khuda Tha Na Hota Kuch To Khuda Hota
Diboya Mujh Ko Honay Ne Na Hota Main To Kia Hota
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ankh bheege bhi to daman nahi geela hota,
Ishq tehzeeb sikha deta hai rafta rafta !
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
hum na hon ge to bhala kaun manaye ga tumhain
ye buri baat hai., her baat pe rootha na karo
wao
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Waqt Acha Bhi Aye Ga Naasir
Gham Na Ker Zindagi Pari Hai Abhi
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa
ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa
"AliF"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
*us shula khoo ki tarha bigarta nahi koi
taizi say itni aag pakrta nahi koi *
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
ye Thiik hai nahii.n marataa koii judaaii me.n
Khudaa kisii se kisii ko magar judaa na kare
zamaanaa dekh chukaa hai parakh chukaa hai use
"Qateel" jaan se jaaye par iltajaa na kare
"Ye"
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007
Ye ham dono he kehtay hain mujhe tum say muhabat hay
abhi tay hona baqi hay kisay kis ki zarorat hay
Re: Bait Bazi--Month of Oct--2007