Bait Bazi--Month of Nov---2007

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Nasir maiN kari dhoop ka aadi to nahiN hooN
Ab ser per pari hai to shajr dhoond raha hooN
Is baar to aisa jhanjhat maiN phansa hooN
Sachmuch maiN usay kuch din k liyay bhool gaya hooN

** " Noon "**

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


Nahi ab to koi malaal bhi , kisi wapsi ak khayaal bhi
gham-e-bekasi ne mita diya merey dil mein tha agar koi
tujhey kya khabar ke raat bhar , tujhey dekh paney ko ik nazar
raha saath chand ke muntazir teri khirkhiyoo'n ke idher koi

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

yaadaiN azeez haiN mugeR aaram e jaa'N kahaN taiy'Ray baghaiR waqyee jeenaa wabaal hai "ye"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


ye tumhari talkh nawaiya koi aur sah kar dekha to day
ye jo hum mai tum mai nibhah hai meray hoslay ka kamal hai

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


ye sajaya sajaya ghur saqi meri zaat nahi mera haal nahi
aiy kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne azaar dia

"alif"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judai Ki
Aaj Mainay Pehli Baar Uss Sebewafai Ki

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yaad uss ko wuh ehd-e-wafaa ho ke na ho
Mujh ko hey Charaagh umeed ke jalaatey rehnaa
Jaaney waaley ko kabhi aana tou nahiN hey lekin
Sar-e-raah palkoN ko, har dum bichaatey rehnaa

Alif''

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ek behti rait ki dehshat hai
Or reza reza khwab meray
Bas ek musalsal hairat hai
Kia sahil kia gardab meray

** " Yay "**

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


ye hijaR ka sehRa hai yahaN visal k badal
chaa jaa'ety haiN lakiN kabi baRsa nahi kaRtey

"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye ishq-o-mohabbat ki rawayat bhi ajab hai
Paaya nahiN jiss ko usse khona bhi nahiN hai

Jis shaks ki khatir tera ye haal hai Khawar
Us ne teray mar janay pe roona bhi nahiN hai

" Yay "

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


ye kya kay har kisi say bayaa'n dil ki haltain karni
faraz tujh ko na askee'n mohabtain karni

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yun tanhai mein hum dil ko saza dete hain
Naam likhte hain tera likh kar mita detay hain
Jab bhi koi nakaam muhabbat ka zikar karay
Log hans detay hain mera naam bata detay hain
" Noon "

Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007

na Ganwao Naawak-e-neem Kash , Dil-e-raiza Raiza Ganwa Diya jo Bachey Hain Sang Samait Lo , Tan-e-daagh Daagh Luta Diya

alif :chai:

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ik khouf koi anjaana sa meri aankh meiN rehta hey har dam
Merey khaab tabhi to raat-o-din baychaiN bhataktey rehtey heiN

** " Noon "

by *"Amal"*

Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007

^
nice shair sheal :slight_smile:

neendon ko tarasti hui ankhon main na jhanko
in main bhi kabhi khwabon ki rut aai to hogi

ye :naak:

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

^-----> thanks Shab :)

Ye khazaaN ki zard se shaam mein jo uddas pairh ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai, issay aansoo'on se harra karo

" Wao "

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Waqt Acha Bhi Aye Ga Nasir
Gham Na Ker Zindagi Pari Hai Abhi

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yay mera sara huner teri khushiyooN say wabasta
Meray saray lafzooN per teri hukum rani hai
Khail jo bhi tha janaaN ab hisab kia kerna
Jeet jis kisi ki ho, hum nay haar mani hai

** " Yay "**

Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007

Yeh Muhabbat bhi kiya ajab rog hai Faraz key jisay bhoola woh sada yaad aya

alif :chai:

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Aik jaaN soz namurad khalish, is taraf hai udher nahiN hoti
Dil piyalaa nahiN gadai'ee ka aashqui darbader nahiN hoti

** " Yay "**