Bait Bazi--Month of Nov---2007

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

ye log tazkaray kertay haiN apnay logoN k
main kahaN talash kaRon ab kahaN say laon usay


"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yuun AUr Bhi Haseen Ho Jaye
Wo Ger Udaas Ho Bethay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yay din yay raat yay lamhay achay lagtay haiN
Tumhain soochoon to saray silsilay achay lagtay haiN
Bohot dour tk chalna mager phir bhi waheeN rehna
Mujhay tum say tumhi tk dairay achay lagtay haiN

" Noon "

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Na Daulat Se Dunya Se Na Ghar Aabaad Kenay Se
Tasalli Dil Ko Hoti Hai Khuda Ke Yaad Kernay Se

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


Yahan Ke Log Apnay Khawab Apnay Dil Main Rakhty Hain
Teray Shaher Ke Yeah ek Ada Achi Lagi Hum Ko

wao

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Wo to kuhushbo hai, hawaoon mein bikhar jai'ga
Mas'ala phool ka hai, phool kidher jai'ga

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


aankhoN meiN bas ke dil meiN sama kar chale gaye
khwabeeda zindagi thi, jaga kar chale gaye

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yay bhi andaz hamaray haiN tumhaiN kia maloom
Hum jeet kay haray haiN tumhaiN kia maloom
Aik tum ho kay samjhtay hi nahiN apna hum ko
Aik hum haiN k tumharay haiN tumhaiN kia maloom

" Meem "

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

maiN ne sunaa hai un ko andhere nahiN pasand
raahoN meiN ab main dil na jalaa'uun to kyaa karuun

"noon"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Naam Jis Pe Hai Meri Umrr Ka Likha 'Mehroo'
Waqt Ke Haath Se Wo Rait Uraa Di Jaye

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


yohi besabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo
woh gahzal ki sachi kitab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


Woh ehad-e-wafa torr ke laut gaya hai
Palkoo pe jammay aansoo kyon girtay nahe hain ...***

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

nazakat nazneenom ko sikhane se nahi ati
khuda jab husn deta hai nazakat aa hi jati hai!

-ye-

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye shehr hai kay numaaish lagi hui hai koi
Jo adami bhi milaa bana ke ishtehaar mila

"Alif"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ajab hai dar Mohabbat ka jo marzi par nahin khulta..
nahin chalta yahan sim sim kisi ko dosh hum kia dain

Noon

Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007

hello sush :wave:

nahi nigahoo’n mai manzil to justaju hi sahi
nahi wisal muasar to arzoo hi sahi
na tun mai khoon farham na ashq ankho mai
namz-e-shooq to wajib hai bewazu hi sahi

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye Bajaa Ke Main Hoon Azaab Main
Magar Iss Main Teri Khata Nahi

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Najane kon si rut mein bichar gaye wo loog
jo apne dil mein bohat ehtraam rakhte thay

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

yahaN k log apnay khuwaab dil maiN rakhtay haiN
tumharay shahar kee ye ada achi lagee hum ko

"wao"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Wo Jitni Bhi Baar Milta hai Pehchana Nahien Karta
Magar Aankhon Mein Tasveerien Puraani Chor jata hay

"Ye"