Bait Bazi--Month of Nov---2007

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Afraad Ke Hathon Main Hai Aqwaam Ki Taqdeer
Her Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Is marhalay ko moot bhi kehtay haiN dostoo
Ek pal main toot jay jahaN umer bhar ka saath
**
" Hay "**

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


Hamaarey safar mein hamaarey saath bas dil?jali si fiza nahi
kuch tishnagi ki sa'ateiN, kuch udaasioN ke lamhey bhi heiN

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yay bat hi na thi meray wehm-o- guman maiN
Pathar milaiN gay sheshagarooN ki dukan maiN

** " Noon "**

2 Likes

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


na ho ga Iss say zay'adaa jaaha'N maiN andhera
k dost dost ko daikhay magaR na pehchaa'nay

"ye"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yay umer maiN nay teray naam bay talab likh di
Bhalay say daman-e-dil maiN kaheeN jagah bhi na day

" Yay "

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

YaadoN ke diye hum ney jalaaey they raat bhar
Da'm-e-Subh yuN lagaa bujhaaey they raat bhar
Dekhtey rahey chaand sey baadal kii AThkheliyaaN
Waqt-e-Firaaq bhi taaray jagmagaey they raat bhar

Re''

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

raat phiR aaey gee phiR zehan k daRwaazey paR
koi mehndi meiN rangey haath sey dastakk dey gaa

"alif"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007


:-)

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

adat hi bana li hai tum ne to munir apni
jis shehr men b rehna uktae hoe rehna

-alif-

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ab kia yaqeen aay keh shak reh guzar main hai
Manzil ka aitebar bhi shamil khaber main hai
Afsoos yay nahiN hai keh waday bhula diyay
Hairat yay hai wo ab bhi saf-e-moatber main hai

** " Yay "**

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

yakeen gar nahi tum ko to pooch lo mere yaron se
baten karne lag gaya hon ab to men deewaron se!

ye

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

nice one sheal !

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

yaadeen kuch is traan say smaat pay cha gieen
pachley rafaqatoon kay swa kuch nahi raha

" Alif "

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

thanks abeeha :)

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

ankh kisi k chehre par dil men dehan kisi ka
hum b kia hen bat kisi se wehm o guman kisi ka
wo to kuch aoron ki khatir b jeena tha warna
rooh men ab tak phel gaya hota sartaan kisi ka

-alif-

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ek zarf tootnay say hoa kis bala ka shoor
Is dil k tootnay ki zara bhi sada nahiN
Kitnay nager haiN jo kabhi ujray kabhi basay
Ujra jo aik bar yay dil phir basa nahiN

** " Noon "**

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

nagar nagar wo bikhray hain zulam k manzar humari rooh k chalay b soo'gh kertay hain usay kahoo k sitam main wo kuch kami ker de k zulam tornay walay b soo'gh kertay hain "noon"

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Na dhoop tujh ko kari lagay koi dukh na tujh ko mila karay
Hara rahay tera nakhl-e-jaaN keh naseeb hooN tujhay rahataiN

** " Noon "**

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

na janay ho gaya iss kadar ahsaas main kab se kisi se baat kertaa hoon tu ankhien bheeg jati hain wo sub guzray huway lamhat mujhko yad atay hain tumharay khat partaa hoon tu ankhien bheeg jati hian "noon"