Re: Bait Bazi Month of June 2008
inhi paththaron py chal kr agar aasako tu aao
mery ghar k rasty men koi kehkashan nhin hy
ye
Re: Bait Bazi Month of June 2008
inhi paththaron py chal kr agar aasako tu aao
mery ghar k rasty men koi kehkashan nhin hy
ye
yaas ki tapti huwi rait meiN jalney do mujhey **
**aas ke baadlo sar pe merey aaya na karo
aaj ke daur ka paiGham yahi hey taalib
koi gir jaaey tou bhooley sey uthhaya na karo
wao''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Weerani-e-hayaat ko weeraan tarr karain
Ley naseh aaj taira kaha maan jayen hum
Meem
Meray haath meiN qalam hey, meray zehn meiN ujaala
mujhey kiaa dabaa sakey ga koi taaqatoN ka paala
mujhay fik'r-e-amn-e-aalam, tujhey apnii zaat ka ghum
meiN tuloo ho raha huuN, tu ghuroob honey waala
Alif''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ab tou sab dashna-o-khanjar ki zabaan boltay hain
ab kahaan logg mohabbat ke nesaabon waalayy...
Yeh
ye khwahishon ka parinda hey ,issey mosmoun sey gharz nahi
ye urrey ga apnii hi moj mein, issy aab dey ke saraab dey
ye''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
yeh dekh ker kay dil ko liye jaa rahay hain woh,
main nay bhee un kay husn ka naksha uraa liya
"alif"
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Aa ke wabesta hein us husn ki yadein tujh se
Jis ne is dil ko pari-khana bana rakha tha.
Jis ki yaadon mein, bhula rakhi thi dynya hum ne,
Daher ko daher ka afsana bana rakha tha
Re: Bait Bazi Month of June 2008
aey ishq aa phir koi tajruba karain
dil bholnay laga hai purani kahaniyan
"noon"
na koi gham khiza'N ka hai na khwahish hai baharoN ki
hamarey sath hai amjad kisi ki yaad ka moasum
"meem"
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Mujhe Maloom Hai Uss Ka Thikana Phir Kahan Hoga
Parinda Aasmaan Chhoonay Main Jab Nakaam Ho Jaye
Ujalay Apni Yaadon Ke Hamaray Sath Rehnay Do
Na Janay Kis Gali Main Zindagi Ki Shaam Ho Jaye
'Ye'
ye kyaa ke eik jahaaN ko karo waqf-e-iztaraab **
*ye kyaa ke eik dil ko shakebaaN na kar sako *
*aesaa na ho ye dard baney dard-e-laazawal *
**aesaa na ho ke tum bhii mudawaa na kar sako
wao''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Wo Mila To Sadyon Ke Baad Bhi Meray Lub Pe Koi Gila Na Tha
Usay Meri Chup Ne Rula Di Jisay Guftugu Main Kamal Tha
'Alif'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Abr baras ke khul gaye, jee k ghubaar dhull gaye..
aankh mein ro'numa huve, sheher jo zair-e-aab the
Yeh
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Shumi Redi Safi Gul Ds Shab nice sharings
:claping:
Re: Bait Bazi Month of June 2008
thnx SiD :)
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye Bhi Mera Jurm Hain, Be'Bus To Hoon Be'His Nahin
Se'r-e-Dunya Kitna Jaan'Leva Tamasha Hai Mujhe
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yeh roshni tou mujhe aurr kar gaii tanhaa...
Diyay jalaye tou saaye b baam-o-dar se gaye
Yeh
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ya'Rub Wo Na Samjhay Hain Na Samjhain Ge Meri Baat
De Aur Dil Unn Ko Jo Na De Mujh Ko Zubaan Aur
'Ray'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ratjagy,kurb,gham,dukh aansoo
aapki ye karam nawazi hay......!
ye