Bait Bazi Month of June 2008

daayam paRaa huwa terey dar par nahiN huN meiN
Khaak aisii zindagi pe ke paththar nahiN huN meiN
yaarab zamaanaa mujh ko miTaataa hey kis liye
lauh-e-jahaaN pe harf-e-mukarrar nahiN huN meiN

noon''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Najane kaun se ab zulm reh gaye hain qamr`
dua woh mangte hain mairi zindagi kay liye..

Yeh


yun ghalat nahi chehron ka taus'sar bhi magar
log wese bhi nahi, jese nazar aatey hain

*nahi minnat-kash-e-taab-e-shanidan daastaaN merii *
*Khaamoshii guftaguu hey, bezubaani hey zabaaN merii *
*Tapak aey shama aNsuu ban ke parwaane kii aaNkhon sey *
*saraapaa dard huN hasarat bharii hey daastaaN merii *

Ye''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

ye kiya huaa teri dunya ko ae khudaay kareem

k zinda luog tarasty hen zindagi k liye..............

noon

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koii ghairr ghairr hotaa koii yaarr yaarr hotaa...

Alif

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ajnabi raahoN par chaltey chaltey kuch yaad aaya
kitney apney they jo baad meiN anjaaney niklay
jin ko raakh kiya aur phir nazr-e-aab Anwaar
sehr huwii tou wuhi auraaq sarhaaney niklay

Ye''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yeh jabr marg-e-musalsal hi zindagi hai Munir`
jahan mein iss pe kabhi ikhtiyar kiss kaa thaa

Alif

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Usay Kaho, Buhat Na'Muraad Shay Hai Junoon
Usay Kaho, Mujhe Hai Buhat Junoon Uss Ka

'Alif'

Aansoo Aankh ki dehleez pe laaya na karo
ghar k haalaat zamaaney ko bataaya na karo
log mutthi meiN namak le ke phira kartey heiN
Zakhm tum apney kisi ko bhi dikhaaya na karo

wao''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

wo chand ban k mery sath sath chalta raha...


men usky hijr ki raaton men kab akeli thi.....?


ye

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yun dekhna kay tootay naa rishta nigah kaa
ek baar dekhne mein woh sow baar dekhna

Alif

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai Awaz To Dekho

'Wow'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Woh jo us k samne aa gaya wohi roshnii mein naha gaya
ajab us ki heybat-e-husn thi, ajab us ka rang-e-jamal tha

Alif

Re: Bait Bazi Month of June 2008

us ny pocha janab kesy hu...?

is khushi ka hisab kesy hu.....

wawo

wuh jo hum mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ke na yaad ho **
*wuhi yaani waadaa nibaah kaa tumhein yaad ho ke na yaad ho *
*koii baat aesii agar huwi jo tumhaarey jii ko burii lagii *
**to bayaaN se pahley hi bhulna tumhein yaad ho ke na yaad ho

wao''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

woh aksar mujh say kehti thi
meri bass itni khwahish hai
kuch aisay pehchani jaon
app k naam say jani jaon

"noon"

na Ghubaar mein na gulaab mein mujhey dekhnaa
merey dard kii aab-o-tab mein mujhey dekhnaa

Alif''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

in barishon say dosti achi nahi faraz
kacha tera makan hai kuch to khyal kar

"ray"

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Raas Aye Mujhe Murjhaye Huay Zard Gulaab
Gham Ka Per Tuu Meray Chehray Ki Bahali Nikla

'Alif'