Rules of Bait Bazi:
Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
Always mention the last urdu alphabet of your shair.
If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
Avoid posting film songs.
*last shair posted by ...S.786
na kisi k dil ka sukon hon,na kisi k dil ka qarar hoon…,**
ju kisi k kaam na aasaky men wo aek mushk-e-ghubar hon
noon
nahi hai taab to phiR aashiqui ki rah na chal
ye karezaaR e janoon hai, jigeR nikal ke rakh
"khey"
nahi hai taab to phiR aashiqui ki rah na chal
ye karezaaR e janoon hai, jigeR nikal ke rakh
"khey"
Khulta Nahee Hai Haal Kisse Purr Kahay Baghair
Purr Dil Key Jaan Leetay Hain Dilber Kahay Baghair
"Ray" Bhadarshah Zafar
S.786
June 3, 2008, 5:02am
4
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ranjishen sahi dil dukhany k liye aa
aa phir sy mujhy chur k jany k liye aa
alif
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai Awaz To Dekho
'Wow'
S.786
June 3, 2008, 5:27am
6
Re: Bait Bazi Month of June 2008
wo mujhko tuorr k phir juorta raha aksar
men os k wasty jesy koi khilonaa thaa.....!
alif
AQ
June 3, 2008, 6:33am
8
Ikhlas-o-Wafa kay sajdoo'n ki jis dar pay daad nahi milti Aye Azm-e-khudi , * Aye ghairat-e-Dil , uss dar pe sajda kya karna
Alif*
* *bahut khoob :)
Udaaaaas raah koi daaastaN sunaayegi
Karo gaY yaad tau har baat yaad aayegi
"Ye"
Yaad uss ney kiya hey phir shaaid
Zakhm risney laga hey phir shaaid
''daal''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Darrya b saamne tha mukammal kataao par
aur zindagi rawaan thi muhabbat ki nao par
kaise zameen kii qaiid say koii nikall sakayy
har simtt aasmaan hai puuray jhukaao parr
Ray
Raat ke parDey mein chuhp kar khuuN rulaati chahto
iss qadar kyuun door ho, mujhsey zara ye to kaho
merey paas aa kar kabhii meri kahani bhi suno
siskiyaan leti hawaain kah raheen hein 'chup raho'
''wao''<!-- / message -->
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Woh hairaan hain hamaray zabt pe keh do qateel unse
jo daaman pay nahin girrta woh aansoo dil pe girta hai
Yeh
S.786
June 3, 2008, 6:02pm
13
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ye parinda kanwal ummedon ka...
kitni onchi orran orrtaa hay.........?
Koyal
June 4, 2008, 4:01am
15
aik pal wo apNa sa laga aur be-gana kar gay'aa
na-janay keoN jatey jatey mujhay dewaNa kar gay'aa
**
**
"alif"
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Abb Ke Wo Dard De Ke Main Ro'un Tamaam Umrr
Abb Ke Laga Wo Zakhm Ke Jeena Muhaal Ho
'Wow'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye Bhi Shayad Zindai Ki Ek Adaa hai Dosto
Jis Ko Saathi Mil Gaya, Wo Aur Tanha Ho Gaya
'Alif'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye Bhi Aadaab Hamaray Hain Tumhain Kia Maloom
Hum Tumhain Jeet Ke Haaray Hain Tumhain Kia Maloom
'Meem'