Re: Bait Bazi Month of June 2008
ye raaz e bahare gulshan hy,is raaz ko koi kiya samjhy.........
phoolon ny rulaaya shubnam ko ya raat ko shabnam khud roi
ye
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ye raaz e bahare gulshan hy,is raaz ko koi kiya samjhy.........
phoolon ny rulaaya shubnam ko ya raat ko shabnam khud roi
ye
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye Zindagi yahan Khushi Ghamon Ke Sath Sath Hai
Rula Sako To Sath Do, Hansa Sako To Sath Do
'Wow'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Wuh na samjhaa kuch bhii meri baatoN ka mafhoom
meiN ney joRey they haroof raat kii siyaahii meiN
noon''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sakay, Main Wo Aik Musht-e-Ghubaar Hoon
'Noon'
Na janay kia THa un AAnkhoN maiN keh maiN nay sir KHum ker dia
Warna dil tu woh sikandar hay jo kaBHi hara na THa
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Acha Hai Dil Ke Pas Rahay Pasban-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhaar Usay Tanha Bhi Chhor De
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ye hi aaghaz tha mera yehi anjaam huna tha....
mujhy barbad huna tha mujhy nakaam huna tha
mujhy is shehr ki galyon ka banjara bana dala....
alif
Iqraar meiN kahan hey inkaar si khoobi
hota hey shauq ghalib uski nahiN nahiN par
Re''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
raqabat ka lafz is baab meiN nahiN aa'ey ga
us ka zikaR ab kisi kitaab meiN nahiN aa'ey ga *
*
*"alif"
*
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Uss tasha lab ki neend na tootay Dua karro...
jiss tashna lab ko khwab mein darya dikhai de
Yeh
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ye darbar-e-muhubbat hy,yahan milta hy bin maangy
ary nadan yahan daman ko phelaya nhin kartay........
ye
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahi Kertay
Malaal Kion Nahin Hota Malaal Hota Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yeh b mumkin hai k usko abhi tak kissi ne bataya na ho
koii suraj ko de aaye jaa k khabar dinn nikalltaa nahinn
Noon
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Na Aatay Tum, Iss Main Takraar Kia Thi
Magar Wadaa Kertay Huay Aar Kia Thi
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yeh ujra gharr tou ussii kii nishaani hai..
Jo apne naam ki takhti laga k chohr gaya
Alif
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Iss Aas Per Her Ayenay Ko Jor Raha Hoon
Shayad Koi Reza Meray Chehray Ka Pata De
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yay Kaun Anso'on Ki Saza Day Gaya Mujhay
Jeenay Ki Jaatay Jaatay Dua Day Gaya Mujhay
Aankhoo'n Main Mayree Kab Say Hay Toofaa'n Ruka Howa
Khul Kay Na Bar'say Aisee Ghatta Day Gaya Mujhay
Yay
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye sheher tanqiid giran yahan na sheesha na sang
koii bhii naqsh yahaan muattabarr nahinnn hotaaa
Khudaa daraaz karayy umrrr mauj-e-toofaaan kiii..
samandaron mein koii dar-badarr nahinn hotaa....
Alif
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Abhi Tou Khushk Hay Mausam Baarish Ho Tou Sochaingey
Keh Hum Nay Apnay Armaanoo'n Ko Kis Mitt'ttee Main Bona Hay
Yay
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yeh alag baat k zahir na huva tujh per warna
Kitnaa mehsos kiya main ne tujhe taire baad!
Daal