Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yuun Buhat Hans Ke Mila Tha Lekin
Dil He Dil Main Wo Khafa Ho Jesay
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yuun Buhat Hans Ke Mila Tha Lekin
Dil He Dil Main Wo Khafa Ho Jesay
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yeh alag baat hai saaqi mujhe hosh nahin..
hosh itna hai k main tujh se faramosh nahin
Noon
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Neeyat-e-Shoq Bhar Na Jaye Kaheen
Tuu Bhi Dil Se Utar na Jaye Kaheen
'Noon'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Nahin rahbar ki kuch parwah haimain, sadqe tasawwur k
keh aankhain band karr leen aur taire koche mein ja nikle
Yeh
yeh neend ki dewi bhi ajab dushman-e-jaan hai
aankhoon sai sada door rahay raat gaiy tak
kaaf
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Kabhi tanhaii se mehroom na rakha mujh ko
dost hamdard hain kitne mairi zaat ke saath
Hay
Ray
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Roshni Leke Buhat Duur Khari Hai Dunya
Mujh Se Kehti Hai, Teray Paas To Saaya Bhi Nahin
'Noon'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
nerangi ye siyasat-e-duraan tu dekhye...
manzil unhen mili ju sharek esafar na thhy
ye
YuN qafas sajaya hey fasl-e-gul ki aamad par
BijliyaN isey mera aashiyaaN samajhti heiN
noon''
<!-- / message --><!-- edit note -->
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Na Hansnay De Na Ronay De, Na Jeenay De Na Marnay De
Isi Ko Istilaahann Hum Zamana Kehtay Aye Hain
'Noon'
na itni tez chaley sarphiri hawa sey kaho
shajar pey aik hi pata dikhaaii deta hey
<!-- / message -->
ye''
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Ye Judaion Ke Rastay Bari |Duur Tak Gaye Hain
Jo Gaya Wo Phir Na Aaya, Meri Baat Maan Jao
'Wow'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Wo baad-e-shaam tha usko guzar hi jaana tha
gull-e-umeed khilla thaa bikharr hii jaanaa thaa
zameen ka rizq huve wasll-o-intizaar kay rangg
pass-e-bahaar yehh nasha utarrr hi jaana thaa
Alif
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Aisay Raha Karo Ke Karain Log Aarzu
Aisay Chalan Chalo Ke Zamana Misaal De
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
ye dil ganwa k naya husla milaa mujhko
fareb kha k naya husla milaa mujhko.....
wao
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Wo Jis Ghamand Se Bichhra, Gila To Is Ka Hai
Ke Sari Baat|Muhabbat Main Rakh Rakhao Ki Thi
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yeh jo palkon se abhi toot k daman pe girra
mairi doobi huii qismat ka sitara tou nahinn
Noon
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Na Pooch Kion Meri Aankhon Main Aa gaye Aansu
Jo Teray Dil Main Hai Uss Baat Per Nahin Aaye
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of June 2008
Yehh kis nay loott liye qaafiile sitaron ke...
sehar ki taig to Amjad`abhi neyam mein thi
Yeh