Bait Bazi Month of June 2008

hello Ahmer :wave:

Meray hasil,yeh Mehromi ajab mehsos hoti hai
Tujhe pakar bhi ku teri talab mehsos hoti hai

ye

Ya-rab dil-e- muslim ko wuh zinda tamana dey
jo rooh ko tarpa dey jo qalb ko garma dey

Ye''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yunhi Mausam Ki Adaa Dekh Ke Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jatay Hain Insaan, Janaan

'Noon'

Naheen tera nasheman kasrey sultani kay gunbad par
tu shaheen hey basera kar paharon ki chataanoN par

Re''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ranj Kitnaa Bhi Karain Unka Zamanay Walay
Jaanay Walay Tou Naheen Lautt Kay Aanay Walay
Kitni Bay Faiz See Reh Jaati Hay Dil Ki Basti
Kitnay Chup Chaap Chalay Jaatay Hain Jaanay Walay

Yay

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ye Mujhe Chain Kion Nahi Parta
Aik He Shakhs Tha Jahaan Main Kia

'Alif'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ab dil ke dareechon pay dasstak naa koii hogii..
aa tujh se karain bataain aey mausam-e-tanhai

Yeh

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ye Gham Nahi Ke Ujaalon Ne Saath Chhor Dia
Tera Khayaal Mujhe Roshni Dikhaata Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yaad aata haii rozz-o-shabb koii
hum se rootha hai bey sabab koi

Yeh

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Abb
Iss Main Andesha-e-Jaan Tha Pehlay

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yeh bhi to saza hai ki giraftaar-e-wafaa hain..
phir kyun mohabbat ki saza dhoond rahe hain

Noon

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Na De Saka Mujhe Tabeer, Khuaab To Bakhshay
Main Ehtiraam Karoon Gi Teri Barai Ka

'Alif'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Usse ye zid hai k us k liye dua mangon
mairi anaa k jise be-talab hi rehna haii

yeh

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yaad Ke Be'Nishaan Jazeeron Main
Teri Awaaz Aa Rahee Hai Abhi

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yeh theek hai k nahin uske ikhtiyaar ki baat..
magar mujhe woh shakhs bhool jaye ga akhir

Ray

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Riya'Kaari Labon Ne Seekh Li
Koi Haalat Ho Ye Hanstay Rahain Ge

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yadon ki jarrein phoot hi parrti hain kahin se
dil sookh b jaata hai tou banjar nahin hotaa
pardes tou shehzad` hai khaimey ki rehaish
khaimey ki rehaish mein koii ghar nahin hota

Alif

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Apna Ye Haal Ke Jee Haar Chukay Lutt Bhi Chukay
Aur Muhabbat Wohi Andaaz Puranay Maangay

'Ye'

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Yeh jo bandagaan-e-niyaaz hai yeh tamaam hai woh lashkarii
Jinhein zindagii ne amaan na dii to taire huzuur mein aa gaye

Yeh

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ye Jo Aik Harf-e-Duaa Hai Lub Per
Naarsa Ho Ke Rasa, Kaafi Hai

'Ye'