Bait Bazi Month of June 2008

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru'Baru Kertay
Hum Aur Bulbul-e-Betaab Guftugu Kertay

'Ye'

*ye dastur-e-zabaaN-bandii hey kaesii terii mahafil meiN *
*yahaaN tou baat karney ko tarastii hey zabaaN merii *
*Tapak aey shama aaNsuu ban ke parwaaney kii aaNkhon sey *
*saraapaa dard huuN hassrat bharii hey daastaaN merii *

Ye''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

yooNhi udaas raha maiN to dekhna ik din
tamaam shehr maiN tanhaaiyaaN bichha dooN ga...

Re: Bait Bazi Month of June 2008

*ilaahii phir mazaa kyaa hey yahaaN duniyaa meiN rahney ka
hayaat-e-jaawidaaN merii na marg-e-naagahaaN merii *

Ye''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

yuonhi tanhaai men ham dilko saza dety hen...

naam likhty hen tera likh k mita dety haen.......

noon

Re: Bait Bazi Month of June 2008

**
Needien Meri AankhOn Sey Churata hAi wOhi Shakhs
Sou jAaOn tO KhwaabOn Mein Bhi Aata hAi wOhi Shakhs
Har Zakhm Ka Khaaliq Bhi kOii Aur Nahien hAi
Har Zakhm Par Marham Bhi Lagaata hAi wOhii Shakhs

"Swaad"
**

Re: Bait Bazi Month of June 2008


suuraj kii har kiraN terii suurat pe vaar duu'N
dozaKh ko chaahataa huuN k jannat pe vaar duu'N

"Noon"

Naheen Nigah Main Manzil Tu Justajoo Hee Sahee Naheen Visaal Muyasar Tu Arzoo Hee Sahee "Yey"

*ye kyaa ke eik jahaaN ko karo waqf-e-iztaraab *
*ye kyaa ke eik dil ko shakebaaN na kar sako *
*aisaa na ho ye dard baney dard-e-laazawal *
*aisaa na ho ke tum bhii mudaawaa na kar sako *

wao''

Re: Bait Bazi Month of June 2008

wo mujhy zindagi samajhta hay....

kiya ossy mera aet-e-baar nahin..?

noon

Na Gaii Kabhi Meri Be-Basii Yeh Ajeeb HadSa mUjh Sey hAi
wOhi FaaSley Teray Shehar Key wOhii Bairiyaan Meray PaaOn Mein



"nOon"

Re: Bait Bazi Month of June 2008

Na Thi Khabar Woh Yeh Bhi Kar Ja'eyga
Kuch Dair Saath Chalayga Phir Bicharrr Ja'eyga
Yehi Soch Kar Hum Nay Seh Liya Yeh Waar Bhi
Zakhm Phir Zakhm Kuch Dair Main Bhar Ja'eyga

alif

**Isey Parh Key tUm Na Samajh Sakey K Meri Kitaab Key rOop Mein **
**kOii Qarz Tha Kaii Saal Ka Kaii Rat-jagOn Ka Udhaar Tha **



"Alif"

Re: Bait Bazi Month of June 2008

ossy kahuk buhut naamuraad shay hay jnoon

ossay kaho k mujhy hy buhut junoon oskaa....

alif

Re: Bait Bazi Month of June 2008

usay bhi ham nay gaNwaaya teri khushi kay liay
tujhy bhi dekh lia hay aray zamaanay! jaa

"Ahmed Faraz"

next "alif"

Re: Bait Bazi Month of June 2008

apni tanhaai mery naam py aabaad kary

kon huga ju mujhy oski tarha yaad kary

ye

Re: Bait Bazi Month of June 2008

yooN hi tau shaaKh say pattay gira naheeN kertay
bichhaR kay log ziaada jia naheeN kertay

Next "ye"

*Yaqeen hai k TU surat Gar Dikha Jaye , *
*Mera Udas sa Jeevan Qarar Pa jaye *

Tumhari Yaad Kuch is tarha Dil se Lipti Hai ,
*K Jese Phool Pe Titli ko Neend Ajaye *

"YE"