Man ki ujri basti ka hum say ziker mat chairoo
Hum udaas baithay haiN yay nager basa ker bhi
Ishq bhool hi to hai na samjh say logooN ki
Jis maiN kuch nahi milta aabru ganwa ker bhi
**
" Yay "**
Re: Bait Bazi Month of July 2008
Yahan Bhi Ho Gaye Aghyaar Anjuman'Aara
Main Apne Dil Ki Bhari Mehfilon Main Tanha Hoon
'Noon'
Neend say taluk hi nahiN barsooN say mera
Khwaab aa aa ker meri chat pay tehltay kueN haiN
MaiN na jugnoo hooN na diya, na koi tara
Roshni walay phir meray naam say jaltay kueN haiN
" Noon "
Re: Bait Bazi Month of July 2008
Nigah-e-Mard-e-Momin Se Badal Jati Hain Taqdeerain
Jo Ho Zoq-e-Yaqeen Paida, To Cut Jaati Hain Zanjeerain
'Noon'
Re: Bait Bazi Month of July 2008
na dil badlaa,na dil ki aarzoo badlee,na wo badly
men kesy inqalaab-e-aasmaan karloon..........??
noon
Re: Bait Bazi Month of July 2008
*Na Mila Kar Hum Udass Logoon Se
Husan Tera Bikhar Na Jay Kahin...
*
*Noon
*<!-- / message -->
Re: Bait Bazi Month of July 2008
nerangi-e-siyaasat,e duoraan tu dekhye......
manzil onhen mili ju shareek-e-safar na thhy
yee
Re: Bait Bazi Month of July 2008
yea keh kar sitam gar nay zulfoon ko jhatka
bohat din say dunya pershaaan nahien hay
yee
Yay kis nay aaj jagai hai ehd - e - rafta ki yaad
Yay kon dil kay kareeN aj noha khwaaN sa hai
" Yay "
Re: Bait Bazi Month of July 2008
Ye Zindagi, Yahan Khushi Ghamon Ke Sath Sath Hai
Rula Sako To Sath Do, Hansa Sako To Sath Do
'Wow'
Wo kuch sunta to maiN kehta mujhay kuch or kehna tha
Wo pal bhar ko jo ruk jata mujhay kuch or kehna tha
Ghalat fehmi nay batoon ko barha dala younhi warna
Kaha kuch tha wo kuch or samjha, mujhay kuch or kehna tha
** " Alif "**
Re: Bait Bazi Month of July 2008
Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai, Awaz To Dekho
'Wow'
Re: Bait Bazi Month of July 2008
wabasta meri yaad sy kuchh talkhiyaan bhi theen
achhaa kiya ju mujhko faraamosh kardiyaa.........!
alif
Re: Bait Bazi Month of July 2008
Aa Ke Aabb Tasleem Ker Lain, Tuu Nahi To Main Sahi
Kaun Manay Ga Ke Hum Main Bewafa Koi Nahin
'Noon'
Na sahiban-e-junooN main na ehl-e-kashf-o-kamal
Hamaray ehd maiN aaieeN kasafataiN kaisi
Yay dor-e-bay hunraaN hai bacha rakho khud
Yahan sadaqataiN kaisi, karamataiN kaisi
" Yay "
Re: Bait Bazi Month of July 2008
ye aarzoo bhi bari cheez hy magar hamdam
wisaal-e-yaar faqat aarzoo ki baat nhi.......!
noon
Re: Bait Bazi Month of July 2008
Na kar sawal dar-e-ghair per gada ki tarha
k koi be-gharaz nahi faqat Khuda ki tarha
Re: Bait Bazi Month of July 2008
haasil agar hoi bhi tu haasil nhi hy kuchh
be,etebaar cheez hy dunyaa kahen jissy
yee
Re: Bait Bazi Month of July 2008
ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udaasiyaa'n
meraa saath koi na day saka meri hasaratain hain dhuaa'n dhuaa'n
noon
Re: Bait Bazi Month of July 2008
nafs,nafs khushi khushi pukaarty chaly gay
tery mareez-e-gham tujhy pukaart chaly gay
ye