Bait Bazi Month of July 2008

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Ye Ishq Nahin Aasaan Bus Itna Samajh Lejay
Ek Aag Ka Darya Hai, AUr Doob Ke Jana Hai

'Ye'

Yay sooch ker k ghum kay khareedar aa ga'ay
Hum khwaab baichnay sar-e-bazaar aa ga'ay
Aawaz day ker chup ga'ai her baar zindgi
Hum aisay sada dil thay k her bar aa ga'ay

" Yay "

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye usi haseeN ki heiN inayateiN ke merey saath to thi lekin mujhey
shikast ka taoq pehna dia, zara saaNs leney ko ruka tha meiN

**
Noon

Re: Bait Bazi Month of July 2008

na etebaar-e-muhubbat,na ikhtiyaar,e wafaa

junoo ki tez ravi keh rahi hy sab achhaa........

alif

Re: Bait Bazi Month of July 2008

usay may yaad aata hoon magar fursat kay lamhoon may
magar yehi haqiqat hai usay fursat nahi milti

"yee"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye ajnabi si manzilen aur raftagaan ki yaad

tanhaaiyon ka zehr hy aur ham hen dustoo

waao

Wo jo rakhta tha dastaras samandarooN ki teh tk
Us masoom ki piyaas pay bhi ay sahil soochna
MohobattaiN bant raha tha wo nafrataiN samait ker
Us ki sakhawat pay bhi ay adil soochna

"Alif"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Uss Shokh Se Bichhar Ke Zafar Apni Zindagi
Jese Makaan Ho Koi Dewaar Ke Baghair

'Ray'

Re: Bait Bazi Month of July 2008

reh gai zindagi dard bankay.........,


dard dil men chhupaay,chhupaay



yee

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Ye Haqeeqat Hai Ke Ehbaab Ko Hum
Yaad He Kab Thay, Jo Abb Yaad Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Na Jaana Aaj Tak Kiya Shay Khushi Hay
Humari Zindgee Bhi Kiya Zindgee Hay
Muhabbat Main Kabhi Socha Hay Toun Bhi
Keh Tujh Say Dosti Ya Dushmai Hay

yay

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye ehtemaam-e-chiraaghaan baja sahi,lekin

seher tu hu nhin sakti diye jalaany say.....

ye