Bait Bazi ..month of Jan..2008

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yaad Uski Itni Khoob Nahi "Meer" Baaz Aa
Naadan Phir Woh Ji Se Bhulaya Na Jayeega

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Itna be-hiss k pighalta hi na tha baaton se
aadmi tha ke tarasha huva pathar daikhaa

Alif

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Izhaar-E-Tamanna Pe Ajab Haal Hai Unka

Aankhe To Razaa-Mand Hain Lab Soch Rahe Hain

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Noch kar shakhon k tan se khushk patton ka libaas
zard mausam ki baanjh rutt ko be-libaasi de gayaa
le gaya Mohsin woh mujh se abrr buntaa aasmaan
us k badle mein zameen saddiyon ki pyasi de gaya

Alif

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Aane Ko Keh Gaye The Na Aayen Khuda Kare
Kya Lutf Aa Raha Hai Mujhe Intezaar Mein

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Na Janay Kon Sa Dukh Zeher Ban Ke Phela Hai
Jisay Bhi Dekheay Wo Shakhs Hai Udaas Buhat

'Tay'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Tum Tark-E-Ta'alluq Ka Kisi Ko Na Bataana
Main Logon Se Keh Doonga Keh Fursat Nahi Milti

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ye Theek Hai Koi Marta Nahi Judai Main
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Karay

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yeh Dil Ke Zakhm Nahin, Jigar Ke Daagh Hain
Rah-E-Hayaat Mein Shama Jala Raha Hai Koi

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yahan manzar se pas manzar tak hairaani he hairaani hai
kabhi asal ka bhaid nahi khulta kabhi sacha khuwaab nahi hota

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Uss Gherat-e-Naheed Ki Her Taan Hai Deepak
Shola Sa Lapak Jaye Hai Awaaz To Dekho

'Wow'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Woh Saari Khushiyaan Jo Us Ne Chaheen Utha Ke Jholi Mein Apni Rakh Li
Hamare Hisee Mein Azar Aaye, Jawaaz Aaye, Usool Aaye

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yoon He Faslon Ko Sajaye Rakh, Yehi Intizar Rahnay Day
Mayray Zahin o Dil K Sakon Par Mayra Ikhteyar rahnay day

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yun to pathar ki bhi taqdeer badal sakti hai
shartt yeh hai usse dill sey tarashaa jaaye

Yeh

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yuun To Ashkon Se Bhi Hota Hai Alam Ka Izhaar
Haye Wo Dard, Jo Tabassum Se Ayaan Hota Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yay ishq nahiN asaaN, bus itna samajh leej'yay
eik aag kaa daryaa hai, aur doob kay jaana hai

'ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ye Judai'on Ke Rastay Bai Duur Tak Gaye Hain
Jo Gaya Wo Phir Na Aaya, Meri Baat Maan Jao

'Wow'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

WOW people good job!
Ok, I am gone........

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Wafa sharast nahin phir b bawafa ki tarah
woh mil raha hai adakaar ki adaa ki tarah

Hay

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Haal-e-dil hum bhi sunaatay laikeen
Jab wo rukhsat huwa tab yaad aaya

(Nasir Kazmi)

Alif