Bait Bazi ..month of Jan..2008

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

lolx.. kisi ki nahi :p

Wo Aye Bazm Main Itna To Meer Ne Dekha
Phir Uss Ke Baad Charaghon Main Roshni Na Rahi

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yeh Kya Muqaam-E-Ishq Hai Zaalim Keh In Dinon
Aksar Tere Bagair Bhi Aaram Ho Gaya

Alif

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
Ke Ashk Rokna Tum Ne Muhaal Hona Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ya taira tazkara karay harr shakhs!
ya koi hum sey guftagu naa karayy

Yeh

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kion Bujh Gaya Awargi
Iss Dasht Main Ek Sheher Tha Wo Kia Hua Awargi

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yoon tou maloom hai anjam-e-dua kia hoga
dil ki taskeen ke liye haath uthaa layte haiin

Noon

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Na Ker Iss Tarha Tu Meri Aarzu
Raigaan Jaye Gi Ye Teri Justuju

'Wow'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Woh Kab Aaye Bhi Aur Gaye Bhi, Nazar Mein Ab Tak Sama Rahe Hain
Yeh Chal Rahe Hain, Woh Phir Rahe Hain, Yeh Aa Rahe Hain, Wo Jaa Rahe Hain

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Na Mila Ker Udaas Logon Se
Husn Tera Bikher Na Jaye Kaheen

'Noon'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Nahi Kaante Bhi Kya Ujade Chaman Mein
Koi Roke Mujhe, Jaa Raha Hun Main

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

neendon ko tarasti hui ankhon main na jhanko
in main bhi kabhi khwabon ki rut aai to hogi
<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yehi taare tumhari ankh ki chilman mein rehte the
yehi sooraj nikalta thaa tumhare baam sey pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ehtiyatan ham
sazaa tasleem kartay hain kissi ilzam sey pahley..

Yeh

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

yeh hi acha hai keh apas ke bharam na tootne pain
kabhi bhi doston ko aazma ker kuch nahi milta<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Usse kaho bohat na-murad shay hai junoon
usse kaho mujhe bohat hai junoon uss kaa

Alif

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Aye Dil terey Sakoo'n se teri ronaqein gayein
darya ka saara husn hi taughyaaniyoo'n se tha
<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Abb kissi sey jo silsila rakhnaa
apne aap sey b chupa rakhna
hum ko adat nahi hai dastak ki
baab dil ka sada khula rakhna

Alif

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Iss Baar Jo Endhan Ke Leay Kut Ke Gira Hai
Chiryon Ko Bara Pyar Tha Uss Boorhay Shajar Se

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yaad rakho to dil k paas hain hum
bhool jaao tou faasle hain bohatt

Tay

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

teri banda parwari say merey din ghuzar rahain hain
na gila hay doston ka na shikayate zamana

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Harr taraf aadmi ja-baja aadmi..
in mein dhunda to koi na tha admi
rang ne, aetaqadat ne, nasll ne
karr diya aadmi se juda aadmii :teary2:

Yeh