Bait Bazi ..month of Jan..2008

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Abb Wo Kisi Bisaat Ki Fehrist Main Nahin
Jin Man'chalo'n Ne Jaan Lag Di Thi Dao Per

'Ray'

'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Raat aik ujri huii soch maire pass aaii
aur phir ujre huve kitne zamane aaye

Yeh

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

*yaad nahiin kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyon se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye *

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ye zaroorii nahiin har shakhs maseehaa hii ho
pyaar ke zakhm amanat hain dikhayaa na karo

wao

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Woh jo milta ha bicharta ha bulha data ha
Jany kis baat p dil os ko dua data ha
Wo mughy payar say roty main hansany wala
yaad ata ha to Hansty main rola data ha

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yeh or baat hai ke izhar ho na saka hum se
nahi hai tumse mohabbat yeh kaun kehta hai

Yeh

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

yeh muhabbat k haadsay akser
sheesha-e-dil ko tour daitay hain
tum to manzil ki baat kertay ho
loug rahooun main chore daitay hain

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Na Rehnuma'on Ki Majlis Main Le Chalo Mujh Ko
Main Bay'Adab Hoon Hansi Aa Gai To Kia Hoga

'Alif'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Aansu jo beh rahey hein inhein behne do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehne do
Bohoot bewafa ho tum, yeh hum ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apne tak hi rehney do!<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Wohh ab kii baar milla iss qadarr takalluf sey..
k kuch bhii na puch paya main us se haal k bad

Daal

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Dard k chand ki kirnon main nahaya hon k yun
meray mathay pe mohabt ka paseena aaye
is liye toot k roya hon main aksar Mohsin
mujh ko dil khol k hansnay ka qareena aaye<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yehi To Wajha-E-Shikast-E-Wafa Hui Meri
Khulus-E-Ishq Mein Saada-Dili Ki Amezish

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Shaayad Mujhe Nikaal Ke Pachhta Rahay Hon Aap
Mefil Main Iss Khayal Se Phir Aa Gaya Hoon Main

'Noon'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

nigah-o-dil teray baray main muttafiq hi na thay
main khud say kitna lara hoon teri muhabbat main<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Na jaane kaun sa Fiqra kahan raqm ho jaye
Dilon ka haal bhi ab kaun kis se kehata hay
Mere Badan ko nami kha gai Ashkon ki
Bhari bahar mein jaise makan Dehta hay

" Ye"

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Yun Phir Raha Hai Kaanch Ka Peekar Liye Huye
Ghaafil Ko Gumaan Hai Ke Paththar Na Aaye Ga

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

aye dost yahaan viranoon ko gulzaar samajhna parta hai
kuch oonchi neechi rahoon ko hamwar samajhna parta hai<!-- google_ad_section_end -->

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ya Deewaana Hanse Ya Jise Tu Taufeeq De
Warna Is Duniya Mein Aa Kar Muskuraata Kaun Hai

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ye Rakh Rakhao Muhabbat Sikha Gai Uss Ko
Wo Rooth Ker Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi ..month of Jan..2008

Ye hijr hai tu iska faqt wisaal hai ilaaj
hum ne ye zakhm waqt ko bharne nahi diya

'Alif'