Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh jo hijr hai yeh naseeb hai
woh jo ishq tha wo junoon tha
alif...?
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh jo hijr hai yeh naseeb hai
woh jo ishq tha wo junoon tha
alif...?
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Usay daikhne ki jo lau lagi to naseer daikh hi lain ge hum..
wo hazar ankh se door ho wo hazaar parda nasheen sahi
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ye Bhi Shaayad Zindagi Ki Ik Adaa Hai Dosto
Jis Ko Saathi Mil Gaya Wo Aur Tanha Ho Gaya
'Alif'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Uss ko naa aaya kabhi mairii wafa parrr yaqeen...
maloom nahi anjane mein usay kitne gham de gaya
Alif
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
ye
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yun hee besabab na phira karo, koi SHaam GHar BHi raha karo,
Woh GHazal ki saCHCHi kitaab hai, usay CHupkay CHupkay paRha karo.
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
wafa kareinge nibhainge baat maanenge
tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kiska tha
<!-- / message --><!-- sig -->
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Abhi Abhi Wo Gaye Hain Magar Ye Aalam Hai
Buhat Dinon Se Wo Jese Nazar Nahi Aye
'Ye'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yeh theek hai nahin marta koi judai mein
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karay
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Ye Teri Tawajja Ka Hai Aijaaz Ke Mujh Se
Her Shakhs Teray Sheher Ka Barham Hai Meri Jaan
'Noon'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Nahin miltay ho mujh se tum to sab hamdard hain maire
zamanaa mujh say jall jaye agarr tum milnay aa jao...
wao
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Wafa Ke Khuaab Muhabbat Ka Aasra Leja
Ager Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Dia Leja
'Alif'
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Is charaagh-e-mohabbat ko naa bujhnay daynaa
hawa kay thapairon se chatanain hila nahi kartiin
Noon
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
nahi ati un ki yaad to muddat tak nahi ati
magar jab yad atay hain to aksar yaad atay hain
"noon"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Nikala mujh ko jannat se, faraib-e-zindagi de kar
diya phir shauq jannat ka yeh hairani nahin jaati
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh nisab e maktab e ishq hai, tu shareek e daras hua to sun
main likha karon tu parha karay main parhan karo tu likha bhi kar
"ray"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Raabta laakh sahii qaafla salaar kay saath...
hum ko chalna hai magar waqt ki raftar k sath
Hay
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
har yaad ko yon zakhm banatay nahi dil ka
har teer ko paiwast e rag e jaan nahi kartay
"yay"
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
Yeh mu'ajza b mohabbat kabhi dikhaye mujhe
keh sang tujh pe giray aur zakhm aaye mujhe
Yeh
Re: Bait Bazi...Month of Feb...2008
yeh udas udas rehna, yeh kisi say kuch na kehna
yonhi bay sabab nahi hai koi saneha to hoga
"alif"