Bait Bazi ....month of Dec..2007

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ye Khuahish Thi Ke Hum Kuch Duur To Sath Chaltay
Sitaron Ka Magar Koi Ishara He Nahi Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007


yaad karney ke siwa ab kar bhi kya saktey hain
bhool janey mein tujhey nakaam ho janey ke baad

daal :D

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

ub tu ye shair zubani yaad ho gaya he he he

Re: Bait Bazi …month of Dec..2007

lol isliye to karti ho bar bar :snooty:

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Deewangi nay meri mujhay kia maza diya
Unko bhi meray saath tamaaSHa bana diya

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ek aag thi k jis main jaltay rahay umer bhar
** Ek dard tha k jis main khayanat kabhi na ki**


** "yay"**


Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yeh fitna AAdmi ki KHaana veerani ko kia kam hai
Huay tum dost jiskay duSHman uska AAsmaN kyoN ho

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Wasl kay ujalooN ki orhni main chup ker bhi
** Hijr k andhairooN ki wehshataiN to hoti haiN**

** " Noon "**

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Naye daur key naye KHuwab haiN, naye MausimoN kay gulaab haiN
Yeh mohabbatoN kay CHiraGH haiN inhaiN nafratoN kee hawa na dey

Meray Dil kee raaKH kuraid mut isay muskura ker hawa na dey
yeh CHiraGH phir BHi CHiraGH hai kaheeN tera haaTH jala na dey

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yay kia khaber thi rulaa'y ga khoon k aansoo
Mazaq - e - ishq jisay hum nay dil lagi samjha
Khumar-e-ghum ka asr tha hamari aankhooN maiN
Zamana us ko bhi ek kaif-e-baykhudi samjha

"Alif"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Iss Saadgi Pe Kaun Na Merr Jaye Ay Khuda
Lartay Hain Aur Haath Main Talvaar Bhi Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Naashanaas-E-Gam Faqat Daad-E-Hunar Dete Rahe
Ham Mataa-E-Gam Ko Rusvaa-E-Hunar Dekhaa Kiye

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yeh zindagi ka dasht yeh mehroomiyon ki anch
baithon kahan keh sayaa-e-deewar bhi nahinn

Noon

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

nafs ko aa'nch pay wo bhi umer bhar rakhNa bara mahal hai hasti ko motbar rakhNa "alif"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Iqbal ishq nay teray sab bal nikal diyay
Mudat say arzoo thi seedha karay koi

"Yay"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaan gubaar he gubaar hai

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yaad hai maiN kia tha, per ab janay kia ho gaya
Aainay maiN shakal daikhay ek zamana ho gaya
Khtm hoi diary, girtay hoay pattay riaz
Aagaya mah-e-december, saal boorha ho gaya
" Alif "

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Acha Hai Dil Ke Paas Rahay Pas'baan-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhaar Isay Tanha Bhi Chhor De

'Ye'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

ye aur baat teri gali mein na aayen ham
lekin ye kya ki shahar tera chhod jaayen ham

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Meray Khuda Mujhe Itna To Mot'bar Kerday
Main Jis Makaan Main Rehta Hoon Uss Ko Ghar Ker De

'Ye'