Bait Bazi ....month of Dec..2007

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

YaadoN ke dareechey meiN Gulaab-o-Saman heiN
Saath par un key kaantoN key pair-han heiN

Noon''

2 Likes

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

**Nigah - o - dil teray baray maiN mutafiq hi na thay
MaiN khud say kitna lara hooN teri mohobbat maiN
Koi bhi yaad mukamal nahiN hai us kay baghair
Yay aisa kon hai shamil meri zaroorat maiN

" noon "**

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007



Na tha kuch to khuda tha, kuch hota to khuda hota
Doboya mujh ko honey ney, na hota mein to kia hota
GHALIB
'alif'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

**Us ki aankhooN maiN koi dukh basa hai shayad
Ya mujhay khud hi wehm sa hoa hai shayad
MaiN nay poocha kay bhool gay ho tum bhi
Poonch ker aansoo mujhay us nay kaha shayad

" Daal "**

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Dua-e baad nahi data magar itna tu kahta hoon
Ka jis say dill lagay tara wo tujah say baywafa niklay

"Yay"

2 Likes

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

**YadooN k na'ay mousam nay yay ehsan kiyay haiN
Ab yaad mujhay dard poornay nahiN aatay
Urnay do parindooN ko abhi shookh hawa maiN
Phir loot k bachpan k zamanay nahiN aatay

" yay " **

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ya Hum Say He Kehtay Na Bani Dil Ki Kahani
Ya Gosh Barawaz Zamana He Nahi Tha

'Alif'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Aap Kehte Hain Keh Auron Ne Kiya Ham Ko Zaleel
Bandaa-Parwar Kahin Apnon Hi Ka Yeh Kaam Na Ho

"Wao"

2 Likes

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

**Wo bhi khamoosh tha judai pay
Hum nay bhi zabt ker liya logo
Hum nay chup chap haar mani thi
Tum nay to shoor ker diya logo !

"Wao"**

Re: Bait Bazi …month of Dec..2007

Woh khud NA bulain shikayat kiun na Likh bheijun ?
Enayat ki nazar mujh pe toh yun bi kam hay aur yun bi :konfused:

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yeh Kahan Ki Dosti Hai Keh Bane Hain Dost Naaseh
Koi Chaarah-Saaz Hota, Koi Ghum-Ghusaar Hota

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

ashkon k qatrey qatrey mein hai khushyon ka aks
yeh kon khul k roya hai dholak ki thaap per

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Rukh Pe Paseena, Tez Tanaffus, Naadim Sa Ehsaas-E-Wafa
Ham Pe Kya Kuch Beet Gai Hai Ek Tere Sharmaane Se

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

yuun to har shaam ummiidon pe guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Aik hii aansu larraz kar keh gaya sab raaz-e-dil
hum tairi mehfil mein aa kar lakh sanjeeda rahe

Yeh

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yehi Kante To Kuch Khuddar Hai Sehan-E-Gulistan Mein
Keh Shabnum Ke Liye Daaman Ko Phailaya Nahi Karte

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru'baru Kertay
Hum Aur Bulbul-e-Betaab Guft'gu Kertay

'Ye'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

^ dost dono section mein same ashar !!!

Yaad-E-Maazi, Gham-E-Amroz, Umeed-E-Farwa
Kitne Saaye Mere Saath Chala Karte Hain

2 Likes

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007


ye kya kay har kisi say bayaa'n dil ki haltain karni
faraz tujh ko na asakeen mohabatain karni

ye

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

chalaki na :$