Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh roshni kay ta'aqub maiN bhaagta huaa din
Jo THak gaya hai tu ab is ko muKHtasar kar de
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh roshni kay ta'aqub maiN bhaagta huaa din
Jo THak gaya hai tu ab is ko muKHtasar kar de
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sab Janta Hoon Magar Phir Bhi
Kyn Tumko Bhula Nahi Paata
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Aik Aur Darya Ka Saamna Tha Munir Mujh Ko
Main Aik Darya Ke Paar Utra To Mainay Dekha
'Alif'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
*Aa Ker Khawabon Mein,Tera Tassawur, Hum Ko Jaga Deta Hai
Khush Hotey Hain Tassawur Mein Tumhein Qareeb Daikh Kar... *
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
RahaiN chunanay k masail maiN uljhay mujhay
Zindgi phir na kisi mor pay lay aay mujhay
Thakn nay mar diya kaheeN mujh ko rastay maiN
Ghubar-e-rah say keh do k bhool ja'ay mujhay
"yay"**
By, Amal
**
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhuul gaye
us ki galiyon se jab lauTe apana bhi ghar bhuul gaye
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ye Bhi Mumkin Hai Kisi Roz Na Pehchanu'n Usay
Wo Jo Her Baar Naya Bhes Badal Leta Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yoon he udas raha tu dekhna ak din
Tamam shahar main tanhiyan becha doon ga
"Alaf"
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aadami aadami ko kya dega
jo bhi dega vahi Khuda dega
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Is dafa to barishaiN rukti nahiN haiN dostoo
** Hum nay kia aansoo piyay keh saray mousam ro paray**
** " Yay "**
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yaaro mujhe maaf karo main nashe mein huum
ab thodii duur saath chalo main nashe mein huum
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
na huii gar mere marane se tasallii na sahii
imtihaa.N aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
ye alag baat tujhay paRhney ki fursat na milay.
hum teray shehar meiN akhbaar banay phirtay haiN
"noon"
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Na'Haq Khayal Kertay Ho Dunya Ki Baat Ka
Tumko Kharab Jo Kahay Wo Khud Kharab Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yaad hai saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze
dil abhi bhulaa nahin aaGaaz-e-ulfat ke maze
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahin Kertay
Malaal Kion Nahin Hota Malaal Hota Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-e-Yar Hota
Ager Aur Jeetay Rehtay, Yehi Intezaar Hota
'Alif'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa
kuchh aag bach rahii thii so aashiq kaa dil banaa
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Aana parast hai wo,jante hain hum lekin
Wo khud bhulaye ga is baat ka yaqeen bhi hai!!