Rules of Bait Bazi:
-
Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
-
Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
-
Always mention the last urdu alphabet of your shair.
-
If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
-
Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
-
Avoid posting film songs.
Nasir bohat si khvahish dil mein hai be-qarar
laikin kahan se laaun woh be-fikrr zindagii..
Ye
2 Likes
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yohi besabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo
wao
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
ye khawab hai tu mujhay thoRi daiR dekhnay do
nahi ye shaRt k tum bhi isi asaR maiN raho
"wao"
Azad
4
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai
kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n
noon
p.s. Shair should be genuine and not your own.
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Neend tou aanay ko thi perr dil pichle qisse le baitha
ab khud ko be-waqt sulane mein kuch waqt lagay ga
Alif
Azad
6
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun
[taaziir = punishment]
----> noon
SJ
7
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun
[taaziir = punishment]
----> noon
Na janay ho gaya hon iss qadar hassas mein kab say
Kisee say Baat kartaa hon tou Ankhain bheeg jatee hain
"Noon"
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Na Tha Kuch To Khud Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota
Diboya Mujh Ko Honay ne Na Hota Main To Kia Hota
'Alif'
Sheal
9
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ek bhooli hoi baat hai ek toota hoa khwaab
Hum ehl-e-mohobbat ko yay amlak bohot hai
"Yay"
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
ye ajab khail hai ishq ka mane ap dekha ye mojaza
woh jo lafz meray gumaan mai thay woh teri zubaan par agaye
ye
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
ye aarazuu hai ki jab bhi gale lagaa_uun use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laa_uun use
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ye Ajeeb Khel Hai Ishq Ka Mainay Aap Dekha Ye Mauj'za
Wo Jo Lafz Meray Gumaa'n Main Thay Wo Teri Zubaan Pe Aa Gaye
'Ye'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
ye kya kay har kiisi say bayaan dil ki haltain karni
farz tujh ko na asakeen mohabatain karni
ye
Re: Bait Bazi …month of Dec..2007
read post 10 
Re: Bait Bazi …month of Dec..2007
haww
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
*ye ajab khail hai ishq ka mane ap dekha ye mojaza
woh jo lafz meray gumaan mai thay woh teri zubaan par agaye
ye
*
Yaa'rab maire naseeb ka kuch tou faislah kar
main yunhi doob jaun ga ya sahil b aaye ga ?
Alif
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aaj to mil ke bhii na mile hon tujh se
chaunk uthate the kabhii terii mulaaqaat se ham
meem
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Main apni zaat se hatt kar kissi se kia chahon
khud apni jehd-e-musalsal se mila hai mujhey
Yeh
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
ye kahaan kii dostii hai ke bane hain dost naaseh
koii chaarasaaz hotaa koii Gam gusaar hotaa
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ikk arsey baad mila to naam bhi maira bhol gaya..
jis ne chaltay waqt kaha tha yad bohat tum aao ge
Yeh