Bait Bazi ....month of Dec..2007

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007


ye bhi shaa'ed zindghi ki ik aadaa hai dostoo
jis ko saathi mil gay'aa wo aur tanha ho gay'aa

"alif"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Iss Qadar Musalsal Theen Shidatain Judai Ki
Aaj Mainay Pehli Baar Uss Se Bewafai Ki

'Ye'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

ye inanayaten ghazab ki ye bala ki meherbani
meri khariat bhi poochi kisi aur ki zabani
meri bezuban ankhon se gire hen chand katre
wo samaj saken to ansu na samaj saken to pani !

-ye-

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

ye or baat hay kay dushman hua hay aaj magar wo mera dost tha kal tak ussay bura na kaho na jaanay kon see majburioun ka kaidi ho wo sath chor giya hay to bewafa na kahon "noon"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Nigah-e-Mard-e-Momin Se Badal Jaati Hain Taqdeerain
Jo Ho Zoq-e-Yaqeen Paida To Kut Jaati Hain Zanjeerain

'Noon'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Nadeem Taraq E Mohabat Ko Aik Umer Hui
Main Ab Bhi Soch Raha Hun Kay Bhool Jaoon Usay

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ye Bhi Aadaab Hamaray Hain Tumhain Kia Maloom
Hum Tumhain Jeet Ke Haray Hain Tumhain Kia Maloom

'Meem'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

**
Main na mil sakon jo tumko, meri justujo na karna
Tumhay meri he Qasam hai, meri aarzo na karna
Mujhay jis say hai Mohabbat, usay hai ajab ye Adat
Kabhi moN ko phair lena, Kabhi guftago na karna

"Alif"

**

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

arzoo hai k mera kissa e shok
aaj mere siwaa kahe koi !

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ye Theek Hai Koi Marta Nahi Judai Main
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Karay

'Ye'

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007


ye daR hai qaa'filay waloo kahiN na ghum kaR day
meRa he apNa uthaa'eya huwa ghubaaR mujhay

"ye"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Yeh To Nahi Kehta Hun Keh Sach Much Karo Insaaf
Jhooti Bhi Tasalli Ho To Jeeta Rahun Ga

Alif

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Uss ki yadon ko tau hum kab se bhulaa baithay haiN
Yeh tau chand khawb haiN jo dil mein chupaa rakhay haiN
Ab bhee lot aa k khiza'on se churaa kar hum ne
Phool kuch taza teri rahon main sajaa rakhay haiN

"Noon"

Re: Bait Bazi …month of Dec..2007

lagta hai yeh aap ka pasandeeda shair hai. check #35](http://www.paklinks.com/gs/showpost.php?p=5501262&postcount=35) and #42](http://www.paklinks.com/gs/showpost.php?p=5508843&postcount=42)

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

**Najane kon sa lamha chora ke lay jae
Matae ghardish-e-doraaN hai Zindagi apni

~ yay ~**

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007


ye such hai mujh ko aqal nay kuch pukhtagi toh di
par wo maza kahan jo nadaa'nioun meiN tha

"alif"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Agar choop chap tum dekhoo tu dam aram say niklay
Idahar hum hichkee latay hain udahar tum roonay lagtay hoo

"Woooo"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

wo payaam-e-pursish-e-shab kahiN khuwaab ho na shayed
Jo ye khuwaab hai to yarab kahiN aankh khul na jaye

"ye"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair tak joorna hoo ga

"Alaf"

Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007

Apni qismat k sitaaray bhi hain mehv-e-gardish
Werna haathon ki lakeerain to mita bhi laitay