Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yaar thaa gulazaar thaa baad e sabaa thii main thaa
laayaq e paabos e jaan kyaa hinaa thii main thaa
alif
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yaar thaa gulazaar thaa baad e sabaa thii main thaa
laayaq e paabos e jaan kyaa hinaa thii main thaa
alif
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Abhii haii tarrk-e-tamannaa kiii aarzoo.....
kyun-kar kahon k koi tamanna nahin hai ab
Bay
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
bazm mein aao kisii din kar ke tum solaah singaar
ek qayaamat vaqt se pahale bhii aanaa chaahiye
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh zindagi ka dasht ye mehromiyon ki aanch
baithon kahaan keh saa'ya-e-deewar b nahin
Noon
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
na kar kisii pe bharosaa ke kashtiyaan dubiin
Khudaa ke hote huye naaKhudaa ke hote huye
yeh
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yun tou Khuda parast milay gaam gaam per
laikin kissi k dil mein na khof-e-Khuda milaa
Alif
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
izhaar-e-mohabbat par is tarah vo sharmaaye
sab kii hayaa merii aankhon mein utar aaii
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh aur baat k dil pe qayamat guzarr gaii
laikin shikastt kha kay barra hausla milaa
Alif
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aaKhir koii umiid-e-asar bhii duaa ke baad
kuchh aap bhii kahen merii iltijaa ke baad
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Dill tou mairaa udaas haiii Nasirr`
shehar kyun sayen sayen karta hai
Yeh
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
yuun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil paanii hote hai.n
tum laakh razaa kii Khuu Daalo kab Khuu-e-sitamagar jaatii hai
yeh
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yun phir raha hai kaanch ka paikar laiye huvay
ghafil ko yeh gumaan hai k pathar na aaye ga!
Alif
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Ek Tehni Per Chaand Tika Tha
Main Ye Samjha Tum Bethay Ho
'Wow'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judai Ki
Aj Mainay Pehli Baar Uss Se Bewafai Ki
'Ye'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh Qurbaten Hi Wajha-E-Firaaq Thehri Hain
Bahut Azeez Hain Yaaraan-E-Bewafa Mujh Ko
wao
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
vo lajaaye mere savaal par ki uThaa sake na jhukaa ke sar
udii zulf chehare pe is tarah ki shabon ke raaz machal gaye
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yuun Aur Bhi Haseen Ho Jaye
Wo Ger Udaas Ho Bethay
'Ye'
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
Yeh Udi Udi Si Rangat Yeh Khule Khule Se Gesu
Teri Subha Keh Rahi Hai Teri Shaam Ka Fasaana
Re: Bait Bazi ....month of Dec..2007
aish se kyon Khush huye, kyo.n Gam se ghabaraayaa kiye
zindagii kyaa jaane kyaa thii aur kyaa samajhaa kiye