Re: Bait Bazi - May
Ye raasta hey, magar hijrati parindoN ka
yahaN samey ke musaafir qayaam kartey heiN
wafa ki qabr pe kab tak isey jalaa rakheiN
so ye chiraagh hawaaoN ke naam kartey heiN
Hey **aur **Noon
Re: Bait Bazi - May
Ye raasta hey, magar hijrati parindoN ka
yahaN samey ke musaafir qayaam kartey heiN
wafa ki qabr pe kab tak isey jalaa rakheiN
so ye chiraagh hawaaoN ke naam kartey heiN
Hey **aur **Noon
Re: Bait Bazi - May
Nahi wo shakhs muqadar maiN..
phir bhi Uss say miltay haiN..
** baRa pur Lutf lagta hai..
muqadar ko Sazaa dena..
'daal' alif'
**
Re: Bait Bazi - May
Dunya meiN in butoN ne sataya hey is qadar
dozakh bhi merey waastey jannat se kam nahi
Noon or Ye
Re: Bait Bazi - May
Ye dil ye pagal dil mera kion bujh gaya awargi
is dasht main ik shehr tha wo kia hoa awargi
Alilf/Ye
Re: Bait Bazi - May
*Ik ajnabi jhoNkey ne jab poocha merey gham ka sabab
sehra ki bheegi reit par meiN ney likha aawaargi *:)
Alif aur Ye
Re: Bait Bazi - May
**آگاہ تھا میں یوں تو حقیقت کے راز سے
**
اظہار حق کا دل کو مگر حوصلہ نہ تھا
Re: Bait Bazi - May
Ab woh toofaaN hai na woh shor hawaaoN jaisa
**Dil ka aalam hai teray ba'd khalaaoN jaisa
'jeem' alif'
**
Re: Bait Bazi - May
**jab kabhi tera naam lete hain
dil se hum intaqaam lete hain
meri barbaadiyon ke afasaane
mere yaaron kaa naam lete hain
hey/noon
**
Re: Bait Bazi - May
Hain baray ajeeb ye wastay ke guraiz-pa sabhi rasty
wo teri nigah ke faslay ye meri nazar ki musaftain
Meen/Noon
Re: Bait Bazi - May
Na rabt hey na maani, kaheiN to kis sey kaheiN
hum apney gham ki kahaani, kaheiN to kis sey kaheiN
kaaf aur noon
Re: Bait Bazi - May
KUCH HAM MI PARAKHNE KA SALEQA BHI NAHI THA
ZAALIM TO VO THA,MAGAR ITNAA BHEE NAHEE THA
TEY/ALIF
Re: Bait Bazi - May
Tishnagi ankhon main aur darya khayalon main rahay
hum nava gar, khush rahay jaisy bhi halon main rahay
Rey/Ye
Re: Bait Bazi - May
**raat ke Khvaab sunaayen kis ko raat ke khvaab suhaane thay
dhundhale dhundhale chehare the par sab jaane pahachaane thay
tey/ye
**
Re: Bait Bazi - May
boht khob :k:
is sher se mujy apna kuch din pehlay wala khawab yaad aa gaya jis mein main ne GS ke kuch members ko daikha tha…![]()
Re: Bait Bazi - May
bauhat khaufnaak khawab hoga. ![]()
Re: Bait Bazi - May
Tu ne kuch bhi na kaha ho jaisy
mere dil hi ki sada ho jaisay
yun teri yaad se jee ghabraya
tu mujy bhool gaya ho jaisy
Jeem/ye
Re: Bait Bazi - May
nai kisi ka chehra nai nazar aaya is liye khaufnaak nai tha ![]()
Re: Bait Bazi - May
**ye larakii to in galiyon mein roz hii ghuumaa karatii thi
is se un ko milanaa thaa to is ke laakh bahaane thay
tey/ye
**
Re: Bait Bazi - May
Tumhein meri muhabbat ki qasam sach sach bata daina
Galay mein daal kar bahain manaana kis se seekha hai ...
Next: "Hay/Ye"
Re: Bait Bazi - May
<!--[if gte mso 9]>
maiN warq warq teray saamnay, teray ru-baroo, teray saath hooN
'he' noon'
**