Re: Bait Bazi - May
**hotii nahin qubuul duaa tark-e-ishq kii
dil chaahataa na ho to zubaan mein asar kahaan
kaaf/noon
**
Re: Bait Bazi - May
**hotii nahin qubuul duaa tark-e-ishq kii
dil chaahataa na ho to zubaan mein asar kahaan
kaaf/noon
**
Re: Bait Bazi - May
Kal tak jo kehtay thay apna aaj wohi begaanay hain
Beganoon ko apna samjha hum kaise deewanay hain ...
Next: "Hay/Noon"
Re: Bait Bazi - May
**Howa Hay Tujh Say Bicharny Kay Baad Ab Maloom
Kah Tu Nahin Tha Tere Saath Aik Duniya Thee
tey/ye
**
Re: Bait Bazi - May
Tumhare seenay mein bhi ek dil dharakta hai
Yeh soch laina kisi ka dil dukhanay se pehlay ...
Next: "Pay/Ye"
Re: Bait Bazi - May
**Yeh Khud Aziyati Kub Tak Faraz To Bhee Ussay
Na Yaad Kar Kah Jissy Bholny Ke Aadat Hai
hey/ye
**
Re: Bait Bazi - May
pay/yeh
Re: Bait Bazi - May
poochhta hai jab koi duniya maiN mohabbat hai kahaN
Muskuraa detii hooN aur yaad aa jatay haiN aap.. :D
Re: Bait Bazi - May
PAGAL KAHA HI HUM KO TO AB NA CHYREAAY
DAMAN PAKAR LEA TO CHURAYA NA JAE GAA:faizy:
GAAAF/ALIF
Re: Bait Bazi - May
Geeley kaghaz ki tarha zindagii thehri apni
koi likhta bhi nahi, koi jalaata bhi nahiN
*Noon *
Re: Bait Bazi - May
nikale hain to raste me.n kahiin shaam bhii hogii suuraj bhii magar aayegaa is raah-guzar se
seen/yay
Re: Bait Bazi - May
*Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Woh jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gaye
*
Re: Bait Bazi - May
Ye khayaal saarey heiN aarzi, ye gulaab saarey heiN kaaghzi
gul-e-aarzu ki jo baas the, wohi log hum sey bicharr gaey
**
**Gaaf aur Ye
Re: Bait Bazi - May
Yaad Kar ke Aur Bhi Takalif Hoti Thi Adeem
Bhool Jane Ke Siva Ab Koi Bhi Chara Na Tha
Re: Bait Bazi - May
Tu he pehlo meiN nahi warna December meiN waheiN
dhoop meiN beitth ke akhbaar parrha kartey heiN......
Hey aur Noon
Re: Bait Bazi - May
**na to hosh se taarruf na junuun se aashnaai
ye kahaan pahunch gaye ham teri bazm se nikal kay
kaaf/ye
**
Re: Bait Bazi - May
Kab sey aek waada wafa hone ki ummeed liye
aek aisi raah pe baetha hooN jo chalti bhi naheiN
Noon
Re: Bait Bazi - May
naam likhtay haiN tera likh k miTa detay haiN
ham yoonhi dil ko mohabbat ki saza detay haiN
'he' noon'
Re: Bait Bazi - May
**Na Jaanay kon sa aansoo kissi say kia kah dey
Hum issi khiyal say nazar Jhukaye baithy hain
hey/noon
**
Re: Bait Bazi - May
ham to dushman ko bhi Pakeeza saza detay haiN
haath uThaatay nahiN, nazroN say gira detay haiN
**
'he' noon'**
Re: Bait Bazi - May
**hur manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe
mur mur ke raah mein voh teraa dekhanaa mujhe
meem/ye
**