Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

**Har taraf phailay hoye thy yaad-e-gham kay silsilay
Kitna mushkil raasta tha ik safar ki raat main

meem/noon
**

Re: Bait Bazi - May

*Mein ke sheher-e-mohabbat ka musafir tha Faraz
aek jhonka tha ke khusboo ke safar per nikla *

Noon or Alif

Re: Bait Bazi - May


*
Na-umeedi, be-hissi ka ab yeh aalam hai ke bas
Koi rota bhi nahe laasha kisi ka dekh kar ...*

Next: "Kaaf/Ray"

Re: Bait Bazi - May

**rastoon mein na baitho kay hawa tang kare gi
bichde hoye logoon ki sada tang kare gi
mat toot kay chaho usey agaz-e-safar mein
bichde ka tu ik aik ada tang kare gee

gaaf/ye
**

Re: Bait Bazi - May

guzray dinon ki yaad barasti ghataa lagay
guzron jo us gali se to thandi hawa lagay
mehmaan ban ke aaye kisi roz agar wo shaks
us roz bin sajayee mera ghar saja lagay

Laam/ye

Re: Bait Bazi - May

l**ab pe paabandii nahin ehasaas pe paharaa to hai
phir bhii ahal-e-dil ko ahavaal-e-bashar kahanaa to hai

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

hum ne tarq e taluq main pehl kar di
wo chahta bhi yehi tha par us main hosla na tha

Tey/Alif

Re: Bait Bazi - May

**ab to har zakhm kee munh_band kalii
lab-e-izahaar huii jaatii hai

phuul hii phuul hain har simt 'Nadeem'
raah dushvaar huii jaatii hai

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

hum apni sans de kar rok laity janay walon ko
humary bas main agar hota juda honay nai daity

Daal/Ye

Re: Bait Bazi - May

**yaad terii kabhii dastak kabhii saragoshii se

raat ke pichhale pahar roz jagaatii hai hamein

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay

Kaaf/Ye

Re: Bait Bazi - May

**kis liye tumhein 'Khursheed' justajuu-e-tuufaan hai
ishq mein to saahil pe duub jaanaa parataa hai

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

HasrateiN dil meiN heiN itni ke nikalteen hi nahee
Aaj jate heiN ye mehmaan na kal jaate heiN

Hey aur Noon

Re: Bait Bazi - May

Na-janay kab say ho gaye itnay shidat-passand ham
**k jab tak zakhm na khaaeiN tassali nahiN hotii..

'he' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

Hum raat bohat roye bohat aah-o-fighaN ki
dil dard se bojhal ho to phir neend kahaN ki
**
**Kaaf
or Ye

Re: Bait Bazi - May

**Kabhi khatm na kia maiN nay roshni ka mahaaz
Agar chiraagh bujhaa, Dil jalaa liya maiN nay..

'noon' ye'**

Re: Bait Bazi - May

**ye Theek hai ki sitaaron pe ghuum aaye hain
magar kise hai saliqaa zamin pe chalane kaa

kaaf/alif
**

Re: Bait Bazi - May

unhi rastun pe jin pe ham dono gamzan the
mujy ruk ruk pucha tera hamsafar kahan hi

HEY/YEY

Re: Bait Bazi - May

**hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahin

mere nagmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahin

noon
**

Re: Bait Bazi - May


na diid hai na suKhan, ab na harf hai na payaam
ko’ii bhii hiila-e-taskiiN nahiiN aur aas bahut hai

hey/ye