Bait Bazi - May

**BaGair mere tujhe chain aa nahiin sakataa **
**meraa javaab kahiin se tuu laa nahiin saktaa **

**hazaar parde bhii Daalo agar banaavat ke **
**dilon kii baat ko cheharaa chhupaa nahiin saktaa

seen/alif **

Re: Bait Bazi - May

http://i37.tinypic.com/fxxoj6.jpg

Us ki muhabbat ne itna mazboot kiya hai mujh ko
Faqat us ki judai ke siwa koi mujhe torr na saka …

Next: “Seen/Alif”

Re: Bait Bazi - May

**sadain aik si, yaksaniyat main doob jaati hain
zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta hai

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

Hazaaron gham zamane ke dara mujh ko nahe saktay
Bahut mazboot hoon mein bhi rula mujh ko nahe saktay
Tumhare dil mein jo kuch hai kaho mujh se mere dilbar
Sabhi se dard kehtay ho bata mujh ko nahe saktay ...

Next: "Seen/Ye"

Re: Bait Bazi - May

**Yahaan Kiska Chehra Phara Karun
Yahaan Kaun Itna Kareeb Hain
Tujhe Dekh Kar Mein Hoon Sochta
Tu Habib Hain Ya Raqeeb Hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

Hum ne Khuda se kuch bhi na maanga magar ussay
Maanga tau siskeyoun ki bhi hadd se guzar gaye ...

Next: "Geem/Ye"

Re: Bait Bazi - May

**Yeh zehmat bhi Toh Rafta Rafta Rehmat Ho He Jati Hai,
Musalsal Gham Se Gham Sehne Ki Adat Ho He Jati Hai,

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

Hazaaron mushkilon se khail kar bhi jeetnay waalay
Yeh aakhir kis jagah per aa ke haaray tum na samjhoge ...

Next: "Seen/Ye"

Re: Bait Bazi - May

**ye aarzoo hay ke qissa tamaam ho jaaey
mila hay zulf ka saaya tou shaam ho jaaey
kisii pe teiz duaaeiN assar nahiN kartiiN
kisii ka sirf duaaoN sey kaam ho jaaey

'jeem' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

mujy ahmed faraz ka sa,ar likhna tha ,par bhul gay :smash koe like:smash:

suna hi titlean ose satate hin
jugnu ankh bhar k dekhtey hen

mujy yi kahe se kuch missing lagta hi******************:smash:any1

Re: Bait Bazi - May

jab se os ney shaher ko chora har rasta sunsaan hua
apna kia hi sare shahar ka ek jesa nuqsan hua
he/alaf

Re: Bait Bazi - May

Ab neend se kaho hum se sulah kar le 'Faraz'
Woh daur chala gaya hai jis ke leye hum jaaga kartay thay ...

Next: "Tay/Ye"

Re: Bait Bazi - May

<!--[if gte mso 9]> Normal/w:View 0/w:Zoom 21/w:HyphenationZone false/w:SaveIfXMLInvalid false/w:IgnoreMixedContent false/w:AlwaysShowPlaceholderText /w:Compatibility MicrosoftInternetExplorer4/w:BrowserLevel /w:WordDocument <![endif]--><!--[if gte mso 9]> /w:LatentStyles <![endif]--><!--[if gte mso 10]> <![endif]--> **YooN barastii haiN tasawur meaiN puraani yaadaiN
jaesey barsaat maiN rim jhim ka samaaN hota hai*

*'he' ye'
*

Re: Bait Bazi - May

Huwa hai tujhse bicharne ke baad ab maloom
Ke tu nahe thaa tere sath aik duniya thee ...

Next: "Tay/Ye"

Re: Bait Bazi - May

**Taluk Jin Se Ho Gehra Un Pe Baat Aaya He Karti Hai
Muhabbat Jinse Ho Un Se Shikayat Ho He Jati Hai

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

***Yahan kis ka chehra parhoon,
Yahan kaun itna qareeb hai !

Koi dost hai na koi rakeeb,
yeah Tera shehar b kitna ajeeb hai !***

hey / noon

Re: Bait Bazi - May

**Hont Paband Hain Mafhum Bayan Hote Hain
Koi Samjhe To Yeh Aansu Bhi Zubaan Hote Hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

*nai tarah say dil ne nibhaney ki thaani hai
wagarna uss se mohabbat bohat purani hai
Khuda woh din na laye k main kisi se sunooN
K tu ney bhi gham-e-duniya se haar mani hai..
*

Re: Bait Bazi - May

ye maana zindagi hai char din ki
boht hotay hain yaro char din bhi

Bey/Ye

Re: Bait Bazi - May

***Ye aur baat k dushman huwa hai aaj magar

Wo mera dost tha kal tak, usay bura na kaho


wow / kaaf