Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

Meri umr se na simat sake mere dil meiN itne sawal the
tere pass jitne jawab the teri aik nigah meiN aa gaye
**
**Alif
or Ye

Re: Bait Bazi - May


aiteraaf apni khataaon ka mein kerta hi chalon
janay kis kis ko milay meri saza meray baad

bay/daal

Re: Bait Bazi - May

DekhooN terey haathoN ko to lagta hey terey haath
mandir meiN faqat deep jalaaney ke liye heiN

Hey aur Noon

Re: Bait Bazi - May


najaaney kaun duaa'on main yad rakhta hai?
main doobta hoon samandar uchaal deta hai..

hey/yeh

Re: Bait Bazi - May

**Yeh sach hai k tujhay kehta tha zindagi apni..
par ab tujh say bhi hooN bezar zindagi ki tarah

'toyen' he'
**

Re: Bait Bazi - May

**Hazar baar chah joshe janu se likhna
tera nam kabi ansu kabi khoon se likhna
tere osaf se bhar deta dunia bhar k kagaz
gar mayaser hota ik din b sakoon se likhna

laam/alif
**

Re: Bait Bazi - May

**Likhna to tha k khush hooN teray bagheir bhi..
Aansoo magar qalam say pehlay hi gir ga'ye..

'gaaf' ye'**

Re: Bait Bazi - May

*yeh asmaan wala hi akhir kabhi baatayega
key wafa shuaron ka hasil q hey tanhayi *

tey/ye

Re: Bait Bazi - May

**Teri ghaflatoN ko khabar kahaN..
meray haal-e-dil pe nazar kahan..
Tu jafa ki had maiN na aa sakaa..
aur maiN wafa ki had say guzar gai..

'gaaf' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

Ghaneem-e-hosh heiN chilman ki aahatteiN lekin
na chup raha hey na jalwa dikha raha hey koi

Kaaf aur Ye

Re: Bait Bazi - May

**Yah Aarzo The Kah Tujhy Gul Kay RoBaru karty
Hum Aor BulBul-e-BayTab Gufatgu Karty

kaaf/ye
**

Re: Bait Bazi - May

Kis ki nigaah-e-lutf ney mosam badal deeye
fasl-e-khizaaN ki raah meiN ye mushkbu hey kon!
hona to chahiye ke ye mera hi aks ho
lekin ye aaiene meiN merey ru'baru hey kon!
**
**Kaaf **aur **Noon

Re: Bait Bazi - May

**naye kapare badal kar jaauun kahaan aur baal banaauun kis ke liye
vo shaKhs to shahar hii chhor gayaa ab Khaak uraauun kis ke liye

laam/ye
**

Re: Bait Bazi - May

Laaya hey ab ke bahaar jo usey dhoondti hey meri nazar
jo meri kitaaboN meiN jaga jaga taazey gulab chupa gaya
meiN thehar thehar ke har qadam pe dekhti hooN baar-ha
koi aasmaan sey torr kar meri rahoN meiN tarey bicha gaya

'gaaf' alif'

Re: Bait Bazi - May

Aankhoo'n meiN kitney ashq the jugnu se ban gaey
wWo muskuraaya aur meri dunya badal gayi
**
**Gaaf
aur Ye

Re: Bait Bazi - May

ye aor baat k tumko kisi pay ho ya na ho
kisi ko tum pay magar etbaar ab bi hai

Re: Bait Bazi - May

**Howa Hay Tujh Say Bicharny Kay Baad Ab Maloom

Kah Tu Nahin Tha Tery Saath Aik Duniya Thee

tey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

Ye Dilka Rog Ye Cahhat Khuda Kisi Ko Na De,
Buri Bala Hai Ye Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De

Re: Bait Bazi - May

**Yaad phir aaya woh guzra hua saawan mujh ko
phir meri aankh ne rone ka bahaana chaaha

che/alif
**

Re: Bait Bazi - May


ادھورے پن کی یہ رفتہ رفتہ تکمیل کرتی ہے

محبّت زندگی کو حسن میں تبدیل کرتی ہے