Re: Bait Bazi - May
Wah, bauhat khoob, waisay aap itni delar hain? ![]()
Re: Bait Bazi - May
Wah, bauhat khoob, waisay aap itni delar hain? ![]()
Re: Bait Bazi - May
**na milaa kar udaas logon sey
husn teraa bikhar na jaaye kahin
aarazuu hai ke tuu yahan aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahin
kaaf/noon
**
Re: Bait Bazi - May
**thori bohat daleri to sab ko dikhani hi paRti hai.. warna duniya jeenay nahi deti ![]()
Kon sunay faryaad kisi ki kon kisi ka dard sahay
apne aap se batein kartay aik zamana beet gaya..
Pani k parday par tumnay naam wafa ka likha tha
Pani ki lehroN ko taktay aik zamana beet gaya..!
‘gaaf’ alif’
**
Re: Bait Bazi - May
**ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhii aadamii the kaam ke
kaaf/yeh
**
Re: Bait Bazi - May
ye vasl kaa lamhaa hai ise raayegaan na samajh
ke is ke baad vahii duuriyon kaa saharaa hai
“hey/yey”
Re: Bait Bazi - May
**har taraf diivaar-o-dar aur un mein aankhon kaa hujuum
kah sake jo dil kii haalat vo lab-e-goyaa nahin
noon
**
Re: Bait Bazi - May
na mila kar udaas logon say
husn tera bikher na jaye kaheen
kaaf / noon
Re: Bait Bazi - May
**kuchh aur der na jharataa udaasiyon kaa shajar
kise Khabar tere saaye mein kaun baiThaa hai
hay/yay
**
Re: Bait Bazi - May
**Kam naheiN wasl sey firaaq tera
is ziyaaN meiN hey faeda kuch aur
har taraf bheerr thi tabiboN ki
rog barrhta gaya kuch aur
**
**Alif **or Rey
Re: Bait Bazi - May
ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aankhein sach bolatii hain pyaar chupaayaa na karo
Kaaf /wao
Re: Bait Bazi - May
VO AGAR MIL JAE OS SE YI PUCHON AIK DIN
VO JO PEHLY AADMI THA AB KHODA KASE HUA
YEY/ALIF
Re: Bait Bazi - May
***abb jo bichre hain to ehsas hua hai hum ko
dard kiya hota hai, tanhai kise kehte hain
char soo ruswai goongti kise kehte hain
koi lahma ho teri yaad mai kho jate hain
raat ho din ho tere piyar mai hum behte hain
dard kiya hota hai, tanhai kise kehte hain
abb jo bichre hai to ehsas hua hai hum ko ***
kaaf / wow
Re: Bait Bazi - May
**Woh jo kanton ko bhi narmi
se chua karta tha…
Hamne phoolon ko masalte
hue dekha usko
alif/wao
**
Re: Bait Bazi - May
wohi zindagi k haiN marhalay, wohi raastay wohi kaarwaaN
magar apnay apnay maqaam par kabhi tum nahi, kabhi hum nahiN
‘noon’
Re: Bait Bazi - May
**Na Jaanay kon sa aansoo kissi Say kia kah Day
Hum issi Khiyal say nazar jhukaye baithy hain
hey/noon
**
Re: Bait Bazi - May
خالی ہاتھوں کو کبھی غور سے دیکھا ہے فراز
کس طرح لوگ لکیروں سے نکل جاتے ہیں
Re: Bait Bazi - May
****nahi masroof maiN itna k dostoN ko bhool jaoN
koi jab muntizar hi na ho to raabta acha nahi lagta ****
‘laam’ alif’
Re: Bait Bazi - May
**Aisy Na Thy Hum Ahl-e-Dil
Itny Kahan Kharab Thy
Hum Bhe Kissi Kee Aas Thy
Hum Bhe Kisi Ka Khuwab Thy
tey/ye
**
Re: Bait Bazi - May
یہ عشق تو فطرت ہے، کیسے ہو جُدا مُجھ سے
یہ روگ ہے مٹی کا اور صدیوں پُرانا ہے
Re: Bait Bazi - May
Tere ishq ki inteha chahta hon
Meri saadgi dekh kya chahta hon
Hey, noon