Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

**na pooch dil kii haqeeqat magar ye kahate hain
wo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiya
kuch aage daavar-e-mahashar se hai ummeed mujhe
kuch aap ne mere kahne ka aitabaar kiya

kaaf/alif
**

Re: Bait Bazi - May

**اشارہ تو مدد کا کر رہا تھا ڈوبنے والا
**

مگر یاران۔ ساحل سلام۔ الوداع سمجھا

Re: Bait Bazi - May

**Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

daal/wao
**

Re: Bait Bazi - May

**وہی گردشیں، وہی پیچ و خم تیرے بعد بھی
وہی حوصلے میرے دم بدم تیرے بعد بھی

تیرے ساتھ بھی تیری ہر جفا مجھے معتبر
تیرے سارے غم مجھے محترم تیرے بعد بھی**

Re: Bait Bazi - May

**badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe

ray/ye
**

Re: Bait Bazi - May


yahaan se ab kahiin le chal Khayaal-e-yaar mujhay
chaman mein raas na aayegii ye bahaar mujhay

meem/ye

Re: Bait Bazi - May

**yaad kare jab mujh ko terii tanhaaii

dekhaa karanaa guldaanon ko shaam ke baad

bey/daal
**

Re: Bait Bazi - May

dard jab teri ataa hai to gila kis se karain
hijar jab tu ne dia hai to gila kis se karain

kaaf/noon

Re: Bait Bazi - May

naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahariir kaa
kaaGazii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa

Kaaf/Alif

Re: Bait Bazi - May

aaya tha ghar saNvarny ehsaan kar gaya
barbadiyon ka aur bhi samaan kar gaya

ab tak rahi us ki yaad meri zindagi ke sath
do char pal ki mujh se jo pehchaan kar gaya

Gaaf/Alif

Re: Bait Bazi - May

go zaraa sii baat par barason ke yaaraane gaye
lekin itanaa to huaa kuchh log pahachaane gaye

GAAF/YE

Re: Bait Bazi - May

Gham e doran ne bhi seekh Gham e janan ke chalan
wohi sochi hoi chalain wohi besaakhtaapan

Bey/Noon

Re: Bait Bazi - May

**
Na'jaaney ashq sey aaNkhoN meiN kiuN heiN aaey huwey
guzar gaya zamaana tujhey bhulaaey huwey
**
Hey aur Ye

Re: Bait Bazi - May

ye shehar jese kal nhi hoga
jane kya weham ho gaya hai mujhe
dukh hai,ehsas-e-jurm hai, kya hai
koi ander se torrta hai mujhe
meem/yay

Re: Bait Bazi - May

Ye tumhari talkh nawaaeeyaaN koi aur seh ke to deikhey
ye jo hum meiN tum meiN nibaah hey, meray hoslay ka kamaal hey

Hey aur Ye

Re: Bait Bazi - May

***yeh udaas udaas se bazm-o-dar yeh ujarh ujarh si rahguzar
chalo hum nahin na sahi magar sar-e koo-e yaar koi to ho

"hey / wao"


Re: Bait Bazi - May

ye ankh rone ki shidat se laal thorri hai
mlaal hai magar itna malaal thorri hai
paron ko kat dia hai urraan se pehle
ye khof-e-hijr hai,shoq-e-wisaal thorri hai...
hay/yay

Re: Bait Bazi - May

sorry i replied to above one.
wo natamam khwab mukamal na ho saka
ane ko zindagi main bohat inqlaab aye...
alif/yay

Re: Bait Bazi - May

Ik khalish ko haasil-e-umr-e-ravaN rahane diya
**
jaan kar ham ne unheiN na-maharabaN rahane diya
**
Daal aur Alif

Re: Bait Bazi - May

dil main ik shor sa utha tha kabhi
phir ye hangama umr bhar he raha...
ray/alif