Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

na Ghubaar main na gulaab main mujhay daikhna
mere dard ki aab o taab main mujhay daikhna

Daal/Alif

Re: Bait Bazi - May

**Umandti yadoN k aashob sey maiN waqif hooN
Khuda karay kisi soorat woh bhool ja'ye mujhay

'meem' ye'**

Re: Bait Bazi - May

**yehi bhaut hay kay dil usko dhond laya hay
kisi kay saath hi sahi woh nazar to aya hay
karo shikaayatain takta raho kay piyaar karo
gaee bhaar ki surat woh laut aya hay

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

**Yeh meraa wahem aik din mujhay dabbo de ga
tera aks nazar aata hai samundar ki hawaoN maiN..!

'meem noon'
**

Re: Bait Bazi - May

**mahsoos kar rahaa hoon main karb-e-shikastgee
tum bhee shaguft-e-gul kee sadaa gaur se suno

seen/wao
**

Re: Bait Bazi - May

wo khwab tha bikhar gaya khayal tha mila nhin
magar dil ko kya houa kyoon bujh gaya pta nhin!!

noon

Re: Bait Bazi - May

**neend uskii hai, dimaag uskaa hai, raaten uskii hain
terii zulfen jiskay baazuu par parishaaN ho gaiin

gaaf/noon
**

Re: Bait Bazi - May

Na paa lenaa teraa aasaaN naa kho denaa tera mumkin..
musibat maiN ye jaan-e-mubtalaa yuN bhi hai aur yuN bhi..!

'be' ye'

Re: Bait Bazi - May

YA MASEHAE OSAY BHUL GAE HI MUHSIN
YA PHIR AESA HI MARA ZAKHAM HE GAHARA HO GA

  GAAF/ALIF

Re: Bait Bazi - May

Gham-e-doran ne bhi seekhay gham-e-janaa ke chalan
Vohi sochi hoi chaalain wohi besaakhtaapan

Bey/Noon

Re: Bait Bazi - May


*
Naam le le ke tera hum tau jeeye jaayenge
Log yunhi humein badnaam keyey jaayenge ...*

Next: "Jeem/Ye"

Re: Bait Bazi - May

**yun to hum dono mein hain kitne zamane hayal
tum bulate ho to lamhe mein palat ata hoon

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May


*
Hausla tujh mein na thaa mujhse juda hone ka
Warna kajal teri aankhon ka na phaila hota ...*

Next: "Hay/Alif"

Re: Bait Bazi - May

**
Hamaarey bakht-e-sitam saaz ka kamaal hey ye
gul-e-bahaar heiN lekin khizaaN meiN rehtey heiN
hisaar-e-dasht mein matrook raastoN ki tarha
hamaarey geet, tery gulsitaaN mein rehtey heiN
**
Hey **aur **Noon


Re: Bait Bazi - May

husn phir fitnaagaar hai kyaa kahiye dil kii jaanib nazar hai kyaa kahiye

"kaaf yaa "yey"

Re: Bait Bazi - May

**hum ko dushman kii nigaahon sey na dekhaa kiije

pyaar hii pyaar hain ham hum pey bharosaa kiije

kaaf/ye
**

Re: Bait Bazi - May

Khud phuul ne bhii honTh kiye apane niim-vaa chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

jeem/ yey

Re: Bait Bazi - May

jab bhi tanhai se ghabra ke simat jatay hain
hum teri yaad ke daman se lipat jatay hain

Hye/Noon

Re: Bait Bazi - May

**ham paravarish-e-lauh-o-qalam karate rahenge
jo dil pe guzaratii hai raqam karate rahenge

rey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

**yeh jo umr bhar ki riyazataiN ya nagar nagar ki musafataiN
yeh to rog haiN mah-o- saal k yeh to gardishaiN haiN safar nahiN
koi chaand tooTay ya dil jalay ya zameen kaheeN say ubal paRay
ham aseer-e- soorat-e- haal haiN hamaiN haadsaat ka dar nahiN

''noon''
**