Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

kabhi aye haqeeqat e muntazir nazar aa libas e miijaaz main
ke hazaron sajday tarap rahay hain meri jabeen e nayaz main

Meen/Noon

Re: Bait Bazi - May

**nakaam-e-tamanna dil iss soch main rehta hay
youn hota to kia hota, youn hota to kia hota *
*

hey / alif

Re: Bait Bazi - May

Aa bhi jao ke zindagi kam hai
tum nai to har khushi kam hai

Hey/Ye

Re: Bait Bazi - May

**Yeh soch ker mein nay chunni hai aakhri aaram gah
Mein tha matti aur mujhe matti ka ghar acha laga
Manzilon ki baat choro kis nay payi manzilein
Aik safar acha laga aik hamsafar acha laga ..! *
*

laam / aleef

Re: Bait Bazi - May

ankhon main jal raha hai kion bujhta nai dhooan
uth'tta to hai ghaTTa sa barasta nai dhoooan

Daal/Noon

Re: Bait Bazi - May

nazar-nazar se nikaltee hain dard kee teesein
qadam-qadam pe vo kaante chubhe hain paayoon mein

meem / noon

Re: Bait Bazi - May

naseeb aazmanay ke din aa rahay hain
qareeb un ke aanay ke din aa rahay hain
jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain

Hey/Noon

Re: Bait Bazi - May

na hoon gar hum toh kya hoga
humara naam kya sahil ki reit sa beh jayega
ya jastajoo humari kissi ki yadoon ka hisaa bun jayega
kya humarey naam ka be koi kahin diya jalayega!!

geem / aleef

Re: Bait Bazi - May

Gulon main rang bhar, baad e naubhaar chalay
chalay bhi aao ke gulshan ka karoobar chalay

Chey/Ye

Re: Bait Bazi - May

ghoor say parhna .. :smilestar:

***yoon toh umeed_e_wafa tum se nhin hai koi
phir charaghoon ki tarah kis ne jalaya mujh ko ***

kaaf / wow

Re: Bait Bazi - May

kantoo'n ki chubhan paye phoolo ka maza bhi dil dard kay mousam mai roya bhi hasa bhi

bay/ye

:naak:

Re: Bait Bazi - May

phir say “ye” …marr giya samii … :crying:

youn hi baesabab na phira karo kisi shaam ghar bhi raha karo
vo ghazal ki sachi kitaab hai oosae chupkae chupkae parha karo

kaaf /wow

Re: Bait Bazi - May

**Kyun Shab-e-Gham Na Jalaon Teri Yaadon Ke Charagh
Unse Roshan Meri Manzil Ke Nishan Hote Hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

hai shoq e safar aisa, ek umer hui hum nay
manzil bhi nahi payi aur rasta bhi nahi badla

bay/alif

Re: Bait Bazi - May

Aaeeney meiN jo aks hey Amjad
kiuN kisi doosrey ka lagta hey
aey saraaboN meiN ghoomney waaley
dil ke andar bhi aek rasta hey

Hey **aur **Ye

Re: Bait Bazi - May

Yeh tu sach hay chup rehnay say pagal-pan berdh jata hay
Lekin pathar kay is shahar maiN aakhir kiss say baat karaiN

Kaaf or Noon

Re: Bait Bazi - May

khaab ki tarah bikhar jane ko ji chaahta hey
aesi tanhai hey ke mar jane ko ji chaahta hey

ghar ki wehshat se larazta hooN magar jane kiuN
shaam hoti hey to ghar jaane ko ji chaahta hey

Hey **aur **Ye

Re: Bait Bazi - May

Yeh dil udaas hai jab se khabar huwi
Miltay ho tum khulos se har ajnabi ke sath ...

Next: "Seen/Hay"

Re: Bait Bazi - May

**ham na hoN to zamanay ki saans ruk ja'ye
''Qateel'' waqt k seenay maiN ham dharkatay haiN

'he noon'
**

Re: Bait Bazi - May

sabhi kuch hai tera dia hoa sabhi rahatain sabhi kulfatain
kabhi sohbatain kabhi furqatain kabhi duriyan kabhi qurbatain
ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab varq teri yaad ke
koi lamha subah-e-visaal ka, kai shaam-e-hijr ki qurbatain

Qaaf/Noon