Bait Bazi - May

Re: Bait Bazi - May

mujhay saray ranj qubool haiN usi aik shakhs k pyar maiN
meri zeest k kisi moR par jo mujhay mila tha bahaar maiN
wuhi ik umeed hai aakhri, ussi aik sham'a say roshni..
koi aur uss k siwa nahiN, meri khahishoN k dayaar maiN

**
'meem' noon'**

Re: Bait Bazi - May

**main kis vatan kii talaash mein yuun chalaa thaa ghar se
ki apane ghar mein bhii ajanabii ho gayaa huun aa kar

kaaf/rey
**

Re: Bait Bazi - May

Kuch na keh kar bhi bahut kuch keh detay hain log
Khamoshi bhi ek tarz-e-guftufoo hai dostoo ...

Next: "Daal/Wao"

Re: Bait Bazi - May

**dil mein Duubaa huaa jo nashtar hai
mere dil kii zubaan na ho jaaye

jeem/ye
**

Re: Bait Bazi - May

**Jaataa hai to lauT k aata nahiN hai
waqt ki ye adat mujhay achi nahiN lagti

'laam' ye'
**

Re: Bait Bazi - May

lab pe ati hai dua ban ke tamana meri
zindagi shama ki soorat ho khudaya meri

Re: Bait Bazi - May

Aaj kya school mein teacher nay yehi sikhaya tha. :D

Re: Bait Bazi - May

**mujhako thaa gumaan ke mujh mein hai ek adaa
dekhii terii adaa to mujhe sochanaa paraa

pey/alif
**

Re: Bait Bazi - May

meri teacher ne kaha tha u ko b yad karva doon :crying:

Re: Bait Bazi - May

ab teri zarort bhi boht kam hai meri jaan
ab shoq ka kuch aur hi aalam hai meri jaan

Jeem/Noon

Re: Bait Bazi - May

Ja teri palkoN par barsaat ka mosam tthehrey
baadaloN ne meri aankhoN ko duwa di ho gi

Gaaf aur Ye

Re: Bait Bazi - May

ye na abaad vaqton mein
dil-e-naashaad mein hogii
muhabbat ab nahin hogii

ye kuch din baad mein hogii
hay/yay

Re: Bait Bazi - May

**hum par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
dushnaam to nahin hai ye ikaraam hii to hai

hey/ye
**

Re: Bait Bazi - May

<!--[if gte mso 9]> Normal/w:View 0/w:Zoom 21/w:HyphenationZone false/w:SaveIfXMLInvalid false/w:IgnoreMixedContent false/w:AlwaysShowPlaceholderText /w:Compatibility MicrosoftInternetExplorer4/w:BrowserLevel /w:WordDocument <![endif]--><!--[if gte mso 9]> /w:LatentStyles <![endif]--><!--[if gte mso 10]> <![endif]-->Ye dunya musaafir-khaana hai mehmaan badaltay rehtay haiN
qissa to wohi farsooda hai unwan badaltey rehtey haiN
mohtaaj ghani ho jaatay haiN, shaahoN ko gadaai milti hai
qismat k doraahay par aksar insaan badaltay rehtay haiN
*

'he' noon'

Re: Bait Bazi - May

*Humsafar to sath sath chalte hain
Raste to bewafa badalte hain
Uska chehra hai jbse meri ankhon mai
Jane kyun log meri ankhon se jalte hain
*

hay/noon

Re: Bait Bazi - May

heraaN na huwa karo yooN meray yaad aaney par
ta'alluq jin say dil ka ho woh aksar yaad aatay haiN..

'he' noon'

Re: Bait Bazi - May

**Nasiib aazamaane ke din aa rahe hain
qariib un ke aane ke din aa rahe hain
jo dil se kahaa hai jo dil se sunaa hain
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain

hey/noon
**

Re: Bait Bazi - May

haseeN yaadoN k kuch mausam ussay Irsaal karnay haiN
Sunaa hai raat ko tanhaayi ussay sonay nahiN deti.. !!

'daal' ye'

Re: Bait Bazi - May

Lovely :k:

Re: Bait Bazi - May

Ye us ka tarz-e takhatub bhi khoob hey Mohsin
ruka ruka sa tabassum khafa khafa si aankheiN
**
**Alif
aur Noon